Sunday, September 26, 2010

**JP** 1081~*Apne Hontoon Par*~Pak Old...

1081~*Apne Hontoon Par*~Pak Old...

Apne hontoon par sajana chahta houn

Aaa tujhe main gungunana chahta houn

Koi aansu tere daman par gera kar

Bund ko moti bana na chahta houn

Thakh gaya main karte karte yaad tuj ko

Ab tujhaye main yaad ana chahta houn

Chaaa raha hai sari basti main andhera

Roshni ho ghar jalana chahta houn

Akhari hechki tere zanoo pe aye

Mout bhi main shaerana chahta houn,

Rah gai thi kuch kami ruswaiyon main

Phir "Qateel"us k dar pe jana chahta houn

~@~@~R*u*k*h*s*a*n*a~@~@~

No comments:

Post a Comment