Sunday, April 17, 2011

**JP** 1217~*Kashmakash*~Pak Old...

1217~*Kashmakash*~Pak Old...

Kuch log sitam kerne ko
taiyaar bethe hain
kuch log mager hum pe
 dil haar bethe hain

  Iss kashmakash mein hum se
 pehchane nahi jate,
kahaan dushman hain aur,
kahan dost yaar bethe hain

  Ishq ko aag ka dariya hi
samajh lijiye hazoor,
koi uss paar betha hai tu,
hum iss paar bethe hain.

  Kon kehta hai ke is shehar main,
saare hain bewafa,
hamare samne du chaar
wafadaar bethe hain.

  Kal tak jin ki hasrat thi
 hamien badnaam kerne ki
ajj wohi log apne kiye pe,
sharamsaar bethe hain.

  Duniyaa se rooth jane ki
khwahish hai hamari,
kiya karoon is khwahish pe
pehredaar bethe hain..!!

~@~@~R*u*k*h*s*a*n*a~@~@~ 

No comments:

Post a Comment