Friday, February 11, 2011

**JP** 1151~*Darya Houn Aur Piyasa Houn*~Pak Old...

1151~*Darya Houn Aur Piyasa Houn*~Pak Old...

Apni dhun main rahta houn

Main bhi tere jaisa houn

Aur pichli rut k sathi

Ab k baras main tanha houn

Teri gali main sara din

Dukh k kankar chunta houn

Muj se aankh milae koun

Main tera aina houn

Mera deya jalae koun

Main tera khali kamra houn

Tere sewa mujhye pahne koun

Main tere tan ka kapra houn

Tue jewan ki bhari gali

Main jungal ka rasta houn

Ati rut mujhye roe gi

Jati rut ka jhonka houn

Apni lahir hay apna roog

Darya houn aur piyasa houn

~@~@~R*u*k*h*s*a*n*a~@~@~

No comments:

Post a Comment