Sunday, January 2, 2011

**JP** 1148~*Gham Ki Barish*~Pak Old...

1148~*Gham Ki Barish*~Pak Old...

400?518

Gham ki barish ne bhi

Tere naksh ko dhoya naheen

Tue ne muj ko kho deya

Main ne tuj ko khoya naheen

Neend ka halka gulabi sa khumaar

Aankhon main tha

Yun laga jaise woh shab ko

Dair tak soya naheen

Har taraf dewaar wa dar

Aur un main aankhon k hajum

Kah sake jo dil ki halat

Woh lab goya naheen

Jurm adam ne kiya aur

Nasal aadam ko saza

Kaat ta houn zindagi bhar

Main ne jo boya naheen

Janta houn aik aise shakhs ko

Main bhi "Muneer"

Gham se pathar ho gaya

Lekin kabhi roya naheen

~@~@~R*u*k*h*s*a*n*a~@~@~

No comments:

Post a Comment