Monday, September 20, 2010

**JP** 1075~*Dard*~Pak Old...

 1075~*Dard*~Pak Old...
Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
Us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya
Lehje se uth raha tha har ik dard ka duhan
Chehra bata raha tha k kuch ganwa diya
Aawaz mein therao tha aankhoon mein nami thi
Or keh rahai the k mein ne sab kuch bhula diya
Jane kya us ko logon se thi shikayatein
Tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya
Khud bhi woh hum se bichar kar adhuri si ho gaye
Muj ko bhi itne logon mein tanha bana diya..
~@~@~R*u*k*h*s*a*n*a~@~@~

No comments:

Post a Comment