Saturday, October 9, 2010

**JP** 1093~*Ujale Apni Yadoon K*~Pak Old...

1093~*Ujale Apni Yadoon K*~Pak Old...

Hamara dil sawere ka sunahra jaam ho jaye

Charagoon ki tara aankheen jaleen

Jab sham ho jaye

Kabhi to aasman se chand utre jaam ho jaye

Tumare naam ki ek khubsurat sham ho jaye

Ajab hallat the yun dil ka soda ho gaya akhir

Mohabbat ki haweli jis tara nilaam ho jaye

Samandar k safar main istara awaaz de ham ko

Hawaeen teez hoon aur

Kashtiyon main sham ho jaye

Mujhye maloom hai us ka thikana phir kahan hoga

Parenda aasman choune main jab nakaam ho jaye

Ujale apni yadoon k hamare sath rahne do

Najane kis gali main zindagi ki sham ho jaye

~@~@~R*u*k*h*s*a*n*a~@~@~

No comments:

Post a Comment