Friday, October 1, 2010

**JP** 1084~*Tere Honton Par*~Pak Old By Qateel...

1084~*Tere Honton Par*~Pak Old By Qateel...

 Fantasy Myspace Comments

Jo bhi guncha tere hontoon par khila karta hai

Woh meri tangi daman ka gila karta hai

Dair se aaj mera sar hai tere zanoon par

Yeh woh rutba hai jo shahoon ko mila karta hai

Main to batha houn dabaye huwe tufan ko

Tue mere dil k dharakne ka gila karta hai

Raat yun chand ko dekha nadi main raksaan

Jaise jhumar tere mathe pe hila karta hai

Koun kafir tujhe ilzam tagaful de ga

Jo bhi karta hai mohabbat ka gila karta hai

~@~@~R*u*k*h*s*a*n*a~@~@~

No comments:

Post a Comment