Tuesday, June 15, 2010

**JP** 1003~*Aaj Itna Baras*~Pak Old...


 

1003~*Aaj Itna Baras*~Pak Old...

Rainy Season Scraps, Graphics and comments

Ae abr_e_ karam aaj itna baras

Itna baras k woh ja na sakeen

Ghar aya hay ek mahman haseen

Dar hay k chala na jaye kaheen

Ham dil ki baat suna na sakeen

Kismat se kisi ko milti hay

Yeh bhigi raat yeh tanhayi

Phir kiyun na chupa leen

Aankhon main

Ham jalwoon ki yeh ranayi

Yeh kiya k zara si dair ko bhi

Ham un k naaz utha na asakeen

Un sahmi sahmi aankhon main

Hay rang abhi beganoon ka

Yeh narm laboon ki khamoshi

Ezhaar bhi hay armanoon ka

Kuch kahne ki bhi taab naheen

Hontoon main bhi baat daba na sakeen

Ae abr_e_ karam aaj itna baras

Itna baras k woh ja na sakeen

~@~@~R*u*k*h*s*a*n*a~@~@~



Windows 7: helpt je meer voor elkaar te krijgen. Ontdek Windows 7.

(Her)ontdek Internet Explorer 8! Vertrouwd eenvoudig.

No comments:

Post a Comment