Thursday, April 7, 2011

RE: **JP** Ilm(knowledge)

Dear Bazmi,
Wa Alaikum As Salam,
Sawal yeh hai keh "Dar asal ilm kiya hai?" Ilm 2 kism k hain (1) Deeni Ilm (2) Duniyavi Ilm.
Deeni ilm se insan Allah Subhanahu Wa Ta'ala ko pehchanta hai, Allah Subhanahu Wa Ta'ala ki ibadat k tareekey ko samajhta hai. Deeni ilm mai sirf 2 subjects hain (1) Quran-e-Pak (2) Ahadeeth-e-Rasool (Sallallahu Alaihe Wa Alaihi Wa Salam). Or asal ilm yehi hai kyun keh Sahaba Ikram (Radhi Allah Ta'ala Anhum) ney Rasool Ullah (Sallallahu Alaihe Wa Alaihi Wa Salam) se yehi ilm seekha tha or har mard or aurat ko yehi ilm hasil karney ka hukum diya gaya hai. Yehi ilm hasil kar k hum ikhlaq, shakhsiyat, mahol or muashrey ki islah kar sakteyh hain. Deen ilm hai or ilm roshni hai jabkeh kufr jahalat hai or jahalat andhera hai.
Duniyavi ilm sanvi ilm hai. Aap mujhe batayen is waqt Doctors, Engineers, Lawyers, Ph.D's, MBA's & ICMA's sab ka objective kiya hai? Sirf or sirf taleem mukammal kar k accha rozgar hasil karna. Aap doctors ko hi dekh lain aaj kal apni salary k liye strike par hain. Is ki misal isi tarah hai jaisey koi carpenter, koi motor mechanic, koi welding ka kaam seekhta hai lekin agar in mai sey kisi ke paas duniyavi ilm ki degree nahi hoti hai tau hum unko jahil keh detey hain isi tarah agar kisi ko english bolni na aaye tau usko bhi jahil kehtey hain jab keh usey agar anparh kaha jaye tau ziada behtar ho lekin hamain yeh nahi pata keh har woh shakhs jahil hai jis k paas Quran o Sunnat ka ilm nahi hai. Chahey usney Ph.D hi kyun na ki ho. Aakhir ghair muslims k paas kitney hi Ph.D, M.B.B.S aur M.B.A hain lekin sab jahil hain kyun keh kufr mai parhey huye hain or kufr bohat barhi jahalat hai. America mai kitni universities hain kitney barhey doctors produce karta hai lawyers produce karta hai. Lekin duniya mai sab se ziada rapes America mai hotey hain or sab jantey hain keh rape kitni barhi jahalat hai.
Aapney Aalim-e-Deen ka kaha beshak musalmano ke paas aalim-e-deen hain mai kisi k ilm par shak nahi karonga lekin sirf ek hi baat karonga keh Allah Subhanahu Wa Ta'ala ney Quran-e-Pak mai farmaya hai: "Or sab mil kar Allah ki rasi ko mazboot thamo or tafurko mai na parho" (103:3)
Is aayat mai wazeh tor par kaha gaya hai keh firka wariyat or guroh bandi na karo or Allah ki rasi thamo yani Kitab o Sunnat pe ikhlas k saath amal karo. Lekin yeh kiya ho raha hai musalmano ne Quran-e-Pak se istefada karna chhor diya hai or Ahadeeth (Sunnat) par sitam yeh kartey hain keh yeh kabil-e-aitbar nahi hain 200/250 saal baad likhi gayi theen or ahadeeth ek doosrey se mutzad hoti hain waghera waghera.
Tau mere bhai jo ilm hamain hasil karna hai uski taraf tau hamari nazr-e-karam hai nahi sirf roti rozi ki taraf lagey huye hain us mai' mai bhi shamil hoon, aap bhi shamil hain or baqui sab musalman bhi shamil hain. Hamain itni fursat nahi hai keh ilm hasil karney par tavajjah dein ya khud hasil nahi kar saktey tau kam az kam apni aulad ko hi yeh ilm de dein takeh woh acchey musalman ban sakein lekin hum apney bacchon ko City School or Beacon House mai addmission karwa kar fakhr kartey hain or jo apney bacchey ko madarasey mai dakhil karwata hai usey hiqarat ki nazar se dekhtey hain isi liye masalman pasti ki taraf safar kar rahey hain.






Date: Wed, 6 Apr 2011 02:22:41 -0700
From: soul_of_bazm@yahoo.com
Subject: **JP** Ilm(knowledge)
To: Yaadein_Meri@yahoogroups.com; joinpakistan@googlegroups.com; PakistaniWriters@yahoogroups.com; love_peace@googlegroups.com

Assalam o alaikum warahmatullah e wabraktuhu
Qura'an al kareem ki pehli ayat uatar rahi hey jis ka pehla harf hey hukum '' padho'' Allah ne tamam musalman mard o orat per ilm hasil karna farz qarar dya k la ilmi , be deeni ka sabab hey , ilm wo nahin jis ka nuqsan ho , ilm to wo hey jo k insan ko nafa'a pohonchay . nafa'a se murad mal o dolat nahin , mal o dolat se mawara bhi kai qeemti ashya hen jin ki qeemat karoron dollars se kahin badh kar hey , akhlaq, shakhsiat,mahol, muashra , in sab ka qayam hota hey Ilm se ... aaj dunya bhagi ja rahi hey , aj ki dunya pichley just 50 sal pehley wali dunya se kahin zyada taleem yafta hey , lekin phir bhi aaj ka muashra intihai gira howa q hey ? muashrey main har taraf burai pheli hoi hy , insan ki samajh ka ma'ayar propegenda ho gaya hey ,
mera ek dost hey , indian hey or MashaAllah IT main well educated hey , maine us sey aisey hi azr a e mazaq sawal kia k '' kal kia honey wala hey '' us ney koi jawab deney k bajay apna lap on kia , google engine main likha ''what gonna happen tomorrow''..
ab agey kia kahon main , well, ek ilm wo tha jab saholiyat o asaish muyassar nahin howa karti thin , but insan lakhon miles ka safar paidal or ghodon par kia kartey they , kai kai dinon main itni tawel musafat tey kia kartey they k koi ek hadith ka ilm hamen mil jay , koi ek masala hamen seekhney ko mil jay etc... phir dunya ne or taraqqi ki ...unhi hazrat main se ''al beroni, bu ali seena, ibn al haitham'' or bhi kai badey nam paida howey ...  jinhone islam or musalmanon ki taraqqi main aham kirdar ada kia ..
so aaj kia wajah hey k musalman itni pasti main gira jaraha hey ... us k pas Alim e deen bhi hen , scholars bhi hen , scientist bhi hen , politicians bhi hen , gernail bhi hen , engineers doctors ki kami nahin hey .... phir q ?????


 



Regards
BazMi
Karachi-Pakistan




 



--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197

No comments:

Post a Comment