Friday, December 3, 2010

RE: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!

kiya bewaqoofana sawal kiya hai aap na. yeh to yeh baat hoi k Quran se saabit karo peeza khana jaiz hai, ya coke peena jaiz hai k nahi. Quran se to aap namaz ka tareeqa bhi saabit nahi kar saktay.  Jis baat ko quran o shariat mana na karay, aap kon hotay hain k us kaam ko apni marzi se najaiz ya haram kahain...
 
Kiya ahle hadithon k liyae jaiz hai k aslaha kay zor par masjidon par qabzay kartay phirain aur kiya yeh bhi  jaiz hai k musalman abaadi kay darmiyan rehtay huway apni masjidon ko aslaha (amunation) ka depo bana len. 
Sabit karain ab Quran se ya hadith se..
-----Original Message-----
From: joinpakistan@googlegroups.com [mailto:joinpakistan@googlegroups.com]On Behalf Of Zeeshan Siddiqui
Sent: Friday, December 03, 2010 12:38 AM
To: joinpakistan@googlegroups.com; usmanqasim@hotmail.com
Cc: sagetaiba@gmail.com; Bazmi; pakistani-girls@googlegroups.com; architectsherry@gmail.com
Subject: RE: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!

Bhai Sahab! Najayez sabit karney ki jo baat aapne ki hai keh sabit kiya jaye pehley aap tau sabit kar dain keh qabar ko choomna jayez hai. Quaran ki kisi bhi aayat se ya kisi bhi hadith se!!!






From: info@lhr.sapphire.com.pk
To: usmanqasim@hotmail.com
CC: zshansiddiqui@hotmail.com; sagetaiba@gmail.com; soul_of_bazm@yahoo.com; pakistani-girls@googlegroups.com; architectsherry@gmail.com; joinpakistan@googlegroups.com
Subject: RE: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!
Date: Thu, 2 Dec 2010 15:47:58 +0500

Aap ko kis nay haq da diya k jhuknay ka matlab khud se akhaz kar len. Deen ko apni aqqal kay taabe mat samjho.  Maa ki Qabar ya kisi buzurg ki Qabar kay paon choomna Quran o Hadith se saabit kar den k na-ja'aizi hai, shirk to boht door ki baat hai. Baqi rahi sajidah ki baat to us ko kabhi bhi, kisi daur ma aur kisi Alam na aaj tak ghair Allah ja'aiz nahi kaha na likha.  Aap aisay chand logon ki misaal pesh kar kay dahndora kun peetna shuru kar detay ho. Kiya aap kay is fail se log mazaron par jana band kar den gay bulkeh Allah SWT ki Anwaraat o Tajalliyaat kay hasool kay liye aqeedat mandon ki tadaad barhti ja rahi hai.  Lekin un tamam logon par yeh waajib hai jo kisi shakhs to sajidah kartay dekhain to usay piyaar se us haram kaam se rokain, na k usay sir dekh kr aa ja'ain ya kisi se sun kar shirk shirk ka shor machana shur kar den.  Aisa karna sirf khud ko halaaq karnay wala fail hai, agar koi samajhna chahay to....
 
-----Original Message-----
From: Usman Qasim [mailto:usmanqasim@hotmail.com]
Sent: Thursday, December 02, 2010 3:11 PM
To: info@lhr.sapphire.com.pk; sagetaiba@gmail.com; soul_of_bazm@yahoo.com
Cc: zshansiddiqui@hotmail.com; pakistani-girls@googlegroups.com; architectsherry@gmail.com; joinpakistan@googlegroups.com
Subject: RE: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!


App replay karnay say phelay email phartay b ho ya aisay he reply kar daytay. ya phir app ki urdu bht kamzoor hai kaha kon c baat kis context may ki gaee app wo samaghay bagair he shoro ho jatay hoon. Phelii baat jis cheez ka apnay zikar kia wo sajjdah ka tareeqa zaror hai sharat nahi.. sharat aur tareeqay mai farak hota hai...jukhnay aur sajjdah ka farak mujay pata hai aur agar app pura jumla context may pharay tu wazay hai k wahan juknay say kya matlab hai.. aur akhree baat mainay apni kisi bhi email mai kisi b mazar pay janay walay ko mushrik nahi kaha.. mazar pay jana aur waha ja k shirk walii harkatay karna duno alag batainnn hai.. mainay apni 1st email mai b kaha tha debate zaror karay laykin facts ki base pay personal attack nahi agar mai kuch galat kah raha ho tu mujay quran aur hadith k reference day correct karay .. edhar udhar ki batain na karay
 
 
 





From: info@lhr.sapphire.com.pk
To: usmanqasim@hotmail.com; sagetaiba@gmail.com; soul_of_bazm@yahoo.com
CC: zshansiddiqui@hotmail.com; pakistani-girls@googlegroups.com; architectsherry@gmail.com
Subject: RE: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!
Date: Thu, 2 Dec 2010 14:22:50 +0500

 
Chalain yeh bhi ma bata deta hon.  Sajidah kay liye jusm ki 7 hadiyon ka zameen se lagna shart hai.. baqi tafseel agar aap ka koi Alam hain un se pooch len.  Ma kay qadam choomnay par kiya fatwa lagao gay Agar aap ko jhuknay aur sajidah ka farq maloom nahi to behs hi fazool hai, lehaza khud ko un logon ma shamil honay se bachao jo bghair tehkeek k mazarat par tamam janay walon par mushrik honay ka fatwa laga kar tehkeek khud kaafir ho rahay hain..
 
 
-----Original Message-----
From: Usman Qasim [mailto:usmanqasim@hotmail.com]
Sent: Thursday, December 02, 2010 12:34 PM
To: info@lhr.sapphire.com.pk; sagetaiba@gmail.com; soul_of_bazm@yahoo.com
Cc: zshansiddiqui@hotmail.com; pakistani-girls@googlegroups.com; architectsherry@gmail.com
Subject: RE: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!



 to "info@lhr.sapphire.com.pk" agar nam likh daytay tu zara jawab daynay mai ahsani rahtii.. masla he yahi meray bhai bahass baraayy bahasss ka koi hall nahi, aur logical baat app kartay nahi hoon. aik baat bata chaloo, app nay aik jaga likha "Sajidah ki kya shartain hain..???" tu meray bhai sajjdah ki koi sharatt nahi sajjdah sirf aik he zaat k agay jaiz hai aur wo ALLAH ki, aur yaha kisi nay aur app nay mazeed kaha "Allah, uskay Rasool aur Auliya per emaan rakhnay walon ko bghair tehkeeq k, mushriq kaha ja raha hai, us per aap ko koi takleef nahi hui" tu meray bhai yaha kisi nay ALLAH uskay Rasool pay emaan waloo ko mushrikk nahi kaha agar kaha hai tu qabroo ko sajjdah karnay waloo ko kaha hai aur haan agar koi ALLAH ki zaat k elava kisi aur k agay jukhna hai aur kisi aur say mangta hai tu usnay shirkk kia...aur mai tu bht say mazarat pay gea hon qabaroo pay jana mana nahi hai... aur mainay mazarat pay ya sab dekha haii ab app pata nahi konsay mazarat pay jatay hoon jo app ko ya sab jhoot aur bauhtan lagta hai...
 
 





From: info@lhr.sapphire.com.pk
To: usmanqasim@hotmail.com; sagetaiba@gmail.com; soul_of_bazm@yahoo.com
CC: zshansiddiqui@hotmail.com; pakistani-girls@googlegroups.com; architectsherry@gmail.com
Subject: RE: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!
Date: Thu, 2 Dec 2010 10:02:25 +0500

Bohat khoob Usman Mian...
Allah, uskay Rasool aur Auliya per emaan rakhnay walon ko bghair tehkeeq k, mushriq kaha ja raha hai, us per aap ko koi takleef nahi hui... Sajidah ki kya shartain hain..??? Kabhi wahan ja kar ghaur kiya hai, kitnay log sajidah kar rhay hain..??? Jhoot aur bauhtan aap kay moun lag chuka hai aur Allah SWT ki taraf se saza kay taur par aap log is ma hamesha mubtala raho gay aur Yeh Allah SWT ki hi zaat hi hai jo aisay logon ko apnay khaas bandon kay nazdeeq bhi phtaknay nahi deti...
 
-----Original Message-----
From: Usman Qasim [mailto:usmanqasim@hotmail.com]
Sent: Wednesday, December 01, 2010 4:01 PM
To: sagetaiba@gmail.com; soul_of_bazm@yahoo.com
Cc: zshansiddiqui@hotmail.com; pakistani-girls@googlegroups.com; architectsherry@gmail.com; info@lhr.sapphire.com.pk
Subject: RE: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!


salam to all, i dont want to write agian on this topic, laykin ya " Sag-e-Taiba " sahab nay jis tarha ki language estamal ki hai aur dusroo kafir sabit karnay pay tulay hoe hain tu " SAG-e-Taiba" sahab ya kuch  ahadith aur qurani ayat hai. koi b akal mand insan ya phad kar es ka andaza laga sakta hai k in ka kya matlab hai.. koi tafseer ya kisi alim k pass janay ki zarorat nahi.. ab ya na khana k mazaroo pay sajjdayy nahi hotayy. mazaroo pay sajjday aur qabroo ko chuma jata hai.. hota tu aur b bht kuch hai.. laykin wo aik alag bahass hai.. nechay app nay aik misal de thi (snake) walii ab wo kis per suit kartii hai app achay say andaza laga saktay hain.. aur akhree request ya debate meaning full honi chaee hai logicss pay baat karayy kisi ko kafir sabit karnay ki koshish na karayyy tu acha hai





From: sagetaiba@gmail.com
Date: Wed, 1 Dec 2010 15:45:06 +0530
Subject: Re: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!
To: soul_of_bazm@yahoo.com
CC: zshansiddiqui@hotmail.com; pakistani-girls@googlegroups.com; architectsherry@gmail.com; usmanqasim@hotmail.com; info@lhr.sapphire.com.pk

Bazmi and Zeeshan. And All

Must read whole reply. or Please aaplog kuch kehtey ho or mera Id Block kardiye ho. tho aap jo kahogey woh tho group mein spread hoga magar jo main reply karuga woh nai hoga. its not fair.

Aapk email ka jawab main aap he ki email mein likh raha hu, ta k confusion Avoid ho. or aapko or Padhney walon ko aasan ho isliye main apna text green mein likh raha hu.

aapka email ka text black hai, or mera answer aap text k aagey ( ) braket mein green colour mein hai. .

Or please mujhey Talib-eMadina ki Bajaye agar Sag-e-Taiba kaho tho Accha hoga. yeh such hai k hum Talabgar-e-Madina hain, Magar Sag-e-Taiba kaha karo.

Sabsey pehley main yeh kehna chahuga. 

Ek bachha apni Ammi sey kehta hai, Ammi main ney sharat lagai hai, k Saanp(snake) k per(wings) hotey hain, Tho us ki Ammi kehti hain bacha Sanp(Snake) k per(Wings) nahi hotey tu sharat haar jaayega. tho woh baccha kehta hai, main nai haaruga, Uski Ammi kehti hai woh kaisey, tho wo baccha jawab deta hai, main maanuga he nai. tho sharat haaruga b nai.

or Aisa he kuch aap yaha per karrey ho.

Chalo aapko aapka jawab deta hu.



On Mon, Nov 29, 2010 at 8:15 PM, I Am BazMi <soul_of_bazm@yahoo.com> wrote:

 Assalam o alaikum ...

janab e mohtaram ... apne ab tak kisi bhi bat ko mana na hi apni kisi bat ki theek daleel din ..
well...

ap ne apni is emails main kaha k...


1) Mazarat-e-Auliya per jana shirak, (iska jawab diya gaya tho)
2) Phir kisi ney aitraaz kiya jaana nahi bal k waha jaakar ziyarat karana shirak.( Iska jawab diye tho)
3) phir kisi ney aitraaz kiya nai nain wahan jaakar Maangney per aitraaz hai.
4) kisi ney kaha k nai Pakki Mazaar bananey per Aitraaz hai. Aitrazat tho bohot huvey or Ab bhi ho rahey hain, or yeh jitney bhi Aitraazat hain sab Mazarat-e-Auliya ko lekar he ho rahey hain.

chalen aitiraz se ap ko uljahn ho gai hey ...munderjah bala aitirazat k jawabat hi de detey but ye ho nahin saka ap se or ap ne kaha k jawabat de dye ... (Reply of Sag-e-Taiba : Jawbat diye hain, magar aap inkar kartey ho k nai diye, chalo aapk email sey he copy kar k bata hu.

{email wrote by I Am BazMi <soul_of_bazm@yahoo.com> on Tue, Nov 23, 2010 at 12:48 PM

ap ki email shroo hoti hey kuch youn k ''good news ye hey ap ne man lya k qabr per jana jaiz hey'' mery bhai ham ne inkar hi kab kia tha ..but ek bat maine kahi thi qabr nahin Quboor mean qabristan.}

Main ney aapko siraf ek Aam musalmaan ki Qabar ki ziyarat ki Ahadith bataya tha, Tho jab ek Aam Musalmaan ki Qabar ki Ijaazat hai tho Phir Nabi or Vali mein aapko kyon Aitraaz hai? Main ney aap k saamney abhi tak Vali or Nabi ki Qabar ki ziyarat k Ahadeeths nai pehs ki. or waja yeh hai k aap pehley ek aam musalmaan ki Qabar ki ziyarat kiya karein phir baad mein aana Nabi or Vali ki Bargah mein.

Phir aapney Bida-at bhi kaha, or aap ko bid-at ki sahi definatin b nai maalum thi, phir main ney aapko bidaat ki defination bataya woh b emai main hain, agar copy karu tho email bohot lamba ho jaayega. aapney uska reply nai diye, aisey bohot saarey sawal hain.

aap tho ab galat bolna shuru kar chukey hain main ney keh raha hu k main ney jawab diya or aap kehtey hain k main ney jawab nai diya. Agar main ney jawab nai diya tho yeh kalimat jo main ney uper aapk email sey red copy kiya hu tho woh aapney kyon kahey?

Aitraaz, aapney tho bohot kiye, aap bata do purey Quraan shareef mein sey, k kahin bhi likha ho. Mazarat-e-Auliya per jana Shirak hai. yeh ek Jumla bata do main jana chor du ga. Chalange again.

chalo aapka email aagey padhtey hain.)
 
chalen is behes se bahir atey hen....

bunyad per jatey hen...

bunyad hey Qabr.....

ap sirf Qabr ka pukhta honey wala aitiraz ka jawab de den ... baqi guftugu us k bad hoti hey ...mazar, shirk or etc jo bhi ho us per behes hoti rahegi .....
(Reply of Sag-e-Taiba: Pehley Andar tho aao, matlab, pehley mazaar per tho aao, phir bataingey Pakki Qabar k baarey, Pakka batain gey, Mazaar per he nai aatey Pakkey kacchey mein lagey ho, pehly aapko andar tho ley aau)
 
Ab main baqi baton ko chor ker ap k dye gay chelllange per bat karonga...

ye ajeeb c bat nahin ... ap ne poori dunya ko challenge de dya or main naqis ilm rakhney wala ap ka challenge qubool kartey howey main apney dalail paish karney ki koshish karonga ,,, 
 (Reply of Sag-e-Taiba: aapney ney apney aapko Naaqis ilam wala kahey, Jab koi ilam-e-deen mein Naaqis ho tho usko haq nai k woh kisi bhi musalmaan ko mushrik kahey. Ya kisi per Nukta chini karey, Ya phir Anbiya Auliya ki mazarat ya un k ilam k baarey mein kahey, jab wo khud adhura aalim hai, N you r most welcome aapney challange Qubul kiya hai) 

ALLAh se ummmed hey wo meri madad farmay ga .... (Reply of Sag-e-Taiba: Is baat ko yaad rakho aagey bayaan karuga.

ap k text ye hen..



or Auliya Allah,      Allah k barguzida bandey hain. jinho ney Allah ki raza haasil kar li.

Hum Nabi-e-Paak, sey maangtey hain tho Unhey Ya Rasul Allah key kar pukaartey hain, Hum Unhey Allah k Rasul keh kar pukartey hain, Allah nai kehtey.or na hi Allah samajhtey hain, Or jo kuch bhi Rasul Allah (SAW) detey hain tho woh Allah ki Ata sey detey hain, Nabi-e-Paak Sallah hu Alaihwa sallam Kareem or Sakhi hain tho Allah ki Ata sey, Nabi-e-Paak Sallah hu Alaih wa sallak k paas jo khazaney hain woh Allah k ata kiye huvey hain.

isi tarah Auliya Allah bhi Allah ki Ata sey hum gareebo ko ata kartey hain. Hum sab sunni unhey Allah keh kar yaa Allah samajh kar nai pukartey, Hum unhey Allah k paak barguzeeda bandey samajh kar pukartey hain. or aisa karna Shirak nai hai.

or Agar aap is ko Shirak kehtey ho tho Challange hai aap sab ko Quraan or Ahadees ki Roshni mein aap saabit kar k batao yeh shirak hai. I challange to All, (Wahabi, Deobandi, Tabligee, Shia, Ahl-e-Hadees, Naayaki, Chakdalwi, Rafizi, etc etc or jo jo bhi tabkey firkey hain sab ko challange).

chalen ibtida kartey hen ... (Reply of Sag-e-Taiba : Sure)

Qura'an Majeed ki pehli soorat pehli ayat..

sab ta'areefen ALLAH k lye hen jo tamam jahanon ka palney wala hey..(soorat:1,ayat:1)

   (Reply of Sag-e-Taiba : No Objection, its true.)


----------------------------------------------------------------------------------------

ham sirf teri hi ibadat kartey hen or sirf tujh hi se madad chahtey hen .(soorat:1 , ayat:5)
 (Reply of Sag-e-Taiba : No Objection, its true. but is mein yeh kahan likha hai k Auliya or Anbiya sey Maango gey tho Mushrik ho jaao gey? I need answer.)
-----------------------------------------------------------------------------------------
jab merey bandey merey barey main AP(Nabi Kareem S.A.W) se sawal karen to Ap(Nabi Kareem S.A.W) keh dijye k main(ALLAH) bohot qareeb hon, her pukarney waley ki pukar ko jab bhi wo mujhey pukarey qubool karta hon, isi lye logon ko bhi chahye k wo meri(ALLAH) bat man lya karen or mujh(ALLAH) per eeman rakhen, yahi un ki bhalai ka bais hey (soorat:2.ayat:186)

 (Reply of Sag-e-Taiba : Main pehley b keh chuka hu aap log Puri Aayat ya phir puri Hadees nai padhtey or na hi us ki tafseer padhtey ho. Or dawa karney nikal jaatey ho? Is it correct?
Aap yahan kya batana chahtey hain? Main apni samajh k aitebar sey aapki sohc likh raha hu. Aapka is aayat k mutabiq yeh batana chahatey hai k :

(jab merey bandey merey barey main AP(Nabi Kareem S.A.W) se sawal karen)

Yahan per sawal karney sey muraad, Mangna hai, aapk mutabiq, yeh aap batana charahey hain is aayat k hiwaley sey right?


Per Sawal k do meaning hain, ek ka meaning hai, Maangna, or ek meaning hai, Jo nahi  maalum hai wo malum karna, or yaha per sawal k meaning hain Maalum karney k, Yeh main apni taraf sey nahi, Quraan sey pesh karra hu, main scanned copy is aayat ki tafseer yahan attach karra hu, or main ney is ki Tafseer ko Under line b kiya hai, Must read. Attachement 1.jpeg mein aayat ka tarjuma hai or Attachment 2.jpeg mein aayat ki Tafseer.

Or Important baat yeh hai k aap shirak k baarey mein kehna chahatey hain, or is aayat mein bhi kahi nahi likha hai K Anbiya or Auliya sey mangna shirak hai. I NEED ANSWER?

------------------------------------------------------------------------------------------
aye Nabi kaho k na to main(Nabi Kareem S.A.W) tum se ye kehta hon k merey pas ALLAH k khazaney hen or na main(Nabi Kareem S.A.W) ghaib janta hon , or na main(Nabi Kareem S.A.W) tum se ye kehta hon k main farishta hon.main to sirf jo kuch merey pas wahi ati hey us ka ittiba'a karta hon, ap kahye k andha or beena kahin barabar ho sakta hey , so kia tum ghor nahin kartey .(soorat:6,ayat:50) $$$

Ittiba'a
: yani merey pas ALLAH k khazaney bhi nahin hen ( mean k har tarah ki qudrat o taqat) k main tumhen ALLAh k uzn o mashiyat k baghair koi aisa bada mo'ojaza sadir kar k dikha doon k tumhen meri sadaqat ka ilm ho jay , or merey pas ghaib ka ilm bhi nahin k mustaqbil main pesh aney waley waqiat se tumhen muttali'e kar don, mujhey farishta honey ka da'awa bhi nahin k tum mujhey aisey kharq adat umoor par majboor karo jo insani taqat se balatar hon. main to sirf us wahi ka pero hon jo mujh per nazil hoti he or is main hadith bhi sahmil he ..
jesa k ap(S.A.W) ne farmaya... ط£ظˆطھظٹطھ ط§ظ„ظ‚ط±ط§ظ† ظˆظ…ط«ظ„ظ‡ ظ…ط¹ظ‡mean mujhey Qura'an k sath is ka misl bhi da gaya hey jesey k hadith e Rasool(S.A.W)

andha o beena:
ye istifham Inkar k lye hen ya'ani k andha or beena , gumrah or hidayat yafta or momin or kafir barabar nahin ho saktey ..

(Reply of Sag-e-Taiba : Allahu Akbar, kya aapko zara si bhi Aqal hai, ya phir aap mein zari si bhi sharam hai? Aapney ney jo tafseer likhi hai, ya phir jo wazahat ki hai jisye main ney red kiya hai ,  yeh aapney khud sey ki hai, or aap ek Naaqis Aalim ho. aapko kis ney haq diya? k aap tafseer likho. Toba karo.

Kya aap jaantey ho ismein Allah, Mohammed SAW ko kin sey mukhatib honey ko keh raha hai? Aap hi ki line mein Allah ney kaha k Aye Nabi SAW kaho. Per kisey kehna, or kin ko kehney k liye kaha hai.

Kya Allah k Nabi ney yeh Kalimaat, Momino or Musalmaano k liye kahey they, Ya phir Tamam logo k liye? Kye yeh aap jaantey ho? Agar Nahi tho Tafseer kyon likhi, Deen mein or Quraan mein kyon milawat karney ki koshish karrey ho?

Jab Allah ko kehalwana hota hai Momino ya Musalmano  k liye tho Allah kehta hai Quraan mein : Ya Aayu Hal Lazina Aamino (Aye Imaan walon Ya Aye Momino) or Jab Allah kehna chahata hain Tamam logo sey tho kehta hai, Ya Ayuh ha nnaas(Aye logo) Magar Yaha per Allah ney kaha k Aye Nabi keh do
tho aapko sochna chahiye yeh kin sey kaha jaaraha hai?

Yeh Farmaan hua tha Munfiqeen or Kaafiro k liye, Jo Allah k Nabi per Shak kartey they, or aaj bhi kuch log shak kartey hain, tho yeh farmaan un k liye hai. Or yeh main nahi kehta aap khud Quraan Padhein, See attachment 3.jpeg       Is attahment mein main ney Quraan ki Aayaat or uski Tafseer ko Under line kiya hai. apni aankho sey padhey.

or yeh Farmaan Aaj bhi unhi Kafiro Munafiqin k liye hain, jo Nabi paak SAW per shak kartey hain, hum Momino k liye nahi. ab faisla aap ko karna hai aap kya ho?

Or Sab sey ahem baat, Is aayat mein bhi kahi bhi yeh nahi kaha gaya hai, k Anbiya or Auliya sey mangna shirak hai. I NEED ANSWER?

Allah k Nabi SAW ko Allah ki Ata sey ilam-e-Gaib hai, yeh bhi is ayat sey sabit hai, kyon k baat shirak per ho rahi hai, is liye main zyada wazahat nai karuga, Aqal mand woh jo is aayat ki tafseer or Maani sey samajh jaaye. main Quran ki aisi bohot saari aayat hain jin sey saabit kar sakta hu k Nabi-e-Paak SAW ko ilam-e-Gaib Allah ki Ata sey hai.  Jo Inkaar karey yani Quraan ka Inkar karey woh Kaafir hai.


-----------------------------------------------------------------------------------
Ap farma dijye k main khud apni zat khas k lye kisi nafa'a ka ikhtyar nahin rakhta or na kisi zarar ka , magar itna hi k jitna ALLAh ne chaha ho or agar main ghaib ki baten janta hota to main bohot se munafi'e hasil kar leta or koi nuqsan mujh ko na pohonchta , main to mahaz daraney wala or basharat deney wala hon un logon k lye jo eeman rakhtey hen
(soorat:7, ayat:188)

ye ayat is bat main kitni wazih heyk Nabi Kareem(S.A.W) alim ul ghaib nahin . alim ul ghaib sirf ALLAH ki zat hey.
Halan k ba'az jangon main Ap(S.A.W) k dandan e mubarak bhi shaheed howey Ap(S.A.W) ka chehra e mubarak bhi zakhmi howa,  or Ap.S.A.W ne farmaya k
ye qom kesey falah pa sakti hey jis ne apney Nabi Kareem S.A.W k sir ko zakhmi kia.

Hazrat Ayesha siddiqah(Radhya ALLAH u anha) per tohmat lagi to Nabi Kareem S.A.W sakht muztarib rahey .....
ek yahoodi orat ne Nabi Kareem S.A.W k  khaney main zehre mila dya or (Nabi Kareem S.A.W) ne tanawul bhi farmaya..

(Reply of Sag-e-Taiba :   Bazmi shahab Aap ney kufar kiya hai, Or Kaafir ho chukey ho. Toba karo, Kalima wapas sey padho or Agar Shadi shuda ho tho Nikah phir sey karo. Aapko Naaqis hotey huvey yeh baat keh gaye.  Main Agar main aapki walida per tohamat lagao tho aap kya feel karo gey? or jo Nabi-e-Paak SAW ki Zoja or Hum Musalmaano ki Maa per Tohmat lagaye phir had sey guzar kar Aap SAW per bhi Tohamat lagaye k woh nahi jaantey they? tho aap aisey shaks ko kya kaho gey? Wallah wo kaafir hai, or Gustaakh-e-Rasul SAW hai, Woh Deen ka Gaddar hain Wo Munafiq hai. or Allah usey kabhi nai bakshey ga.
Khamosh hona, ya Muztarib hona is baat ki daleel nahi k unhey maalum na tha, Jistarah aap muztarib ho jaaogey k aapki Walida per main ney ganda sa tohmat lagaya hu isee tarah Nabi-e-Paak SAW bhi Muztarib ho gaye, Or Agar Nabi SAW jab he jawab ata farma detey  tho yeh Munafiq kehtey k dekho Ghar ki baat aayi tho direct bol diye.  Khuda sey bhi nai puchey.  Allah or Allah ki Ata sey Gaib daan Nabi SAW jaantey they k 14th Century mein kuch Aqal waley munafiq aisi baat bhi kahey gey isliye Allah k Nabi ney Khamoshi ikhtiyar  ki or Allah ney Jawab dey diya Quraan mein 11 aayat bhej di. 1 nai 11 aayat. taa k Munafiq bhi dekh ley k Allah Paak, Allah ka Nabi Paak, Allah k Paak Nabi k Ahl-e-Bait Paak or wo saabit hai Quraan sey main puchta hu Yazid Naapak, uski paaki Quraan sey saabit karo? Or jo Napaak ink baarey mein napaak khayalat rakhey woh Napaak or woh Napaak ka thikana jahanam hai.

Yahan Baat ho rahi thi shirak k baarey mein Bazmi yeh kaha chaley gaye aap?
or Mujhey kehtey ho k main ney jawab nai bal k idhar udahr ki baat kahi? Yeh lo aap ney jo aayat pesh ki hai us k baarey mein padho.

Nabi Paak k ilam per hamesha sawalat or Shak o Shubat karna yeh Munafiqon Nishani hai, or yeh main nahi khud Nabi-e-Paak SAW ney farmaya is aayat ki Tafseer mein padho. ab aap hi samajh jaao Shak kis ko hai? kon or jo shak karrey hain woh kon hain?

QURAAN ki aayat ko pura or samajh kar padho.  Naaqis Aalim, Khatra-e-Emaan hota hai.

Aap log is aayat ki Tafseer or Tarjuma dono padhein, See Attachment 4.jpeg. or Aap he batao jo log Naaqis hon or Quraan k Aayat ko Adhoora padhkar or uski Tafseer jaaney bagair fatwey detey hain un logo ko aap kya kaho gey?

Allah k Nabi ki Shaan mein Gustaakhi Kartey hain, Quraani aayat ko logon mein Galat tarikey sey bayaan kartey hain. or Allah ki madad sey umeed rakhtey hain.  Jaisa k inho ney uper email k start mein likha hai.

Beshak Allah or Allah k Rasul SAW unhi ki madad karta hai,  Jo Allah or Nabi-e-Paak Sallah hu Alaih wasallam ki Shaan mein Gustaakhi nai kartey.

Bazmin sahab, Aapko batana hai shirak k baarey mein or yeh kya bayaan hai aapka?

I NEED ANSWER?



---------------------------------------------------------------------------------------

Ap keh dijye k main tum jesa hi ek insan hon, han meri janib wahi ki jati hey k sab ka Ma'abood sirf ek hi hey, to jisey bhi apney perwardigar se milney ki arzoo ho usey chahye k nain a'amal karey or apney parwardigar ki ibadat main kisi ko bhi shareek na karey.(sorat:18.ayat:110)

amal salih wo hey jo sunnat k mutabiq ho , ya'ani joapney RAb ki mulaqat ka yaqeen rakhta he, usey chahye k har amal sunnat k mutabiq karey. or doosrey , ALLAh ki ibadat main kisi ko shareek na karey (dua bhi ibadat hey) is lye k bid'at or shirk donon hi habt a'amal ka sabab hen..ALLAh in donon se haemn mehfoos farmay ameen

(Reply of Sag-e-Taiba : Please zara inki tafseer chor kar Quraan ki Tafseer padho. Seet Attachment 5.jpeg.

Or Bazmi Sahab, Hum tho Allah ki hi Bandagi kartey hain, Main ney kab kaha k hum Anbiya or Auliya ki Bandagi kartey hain? Yaha baat ho rahi hai Shirak per, Kya Anbiya or Auliya sey mangna shirak hai? or is aayat mein yeh kaha hain k Anbiya or Auliya sey madad maango gey tho mushrik ho jaao gey. yeh kahan hain k Mazaraat-e-Auliya ya Anbiya per jao gey tho Mushrik ho jaaogey?

I NEED ANSWER.

--------------------------------------------------------------------------------------

wo rat ko din or din ko rat main dakhil krta hey or aftab o mahtab ko isi kam p lagaya howa hey , har ek mi'aad mo'ayyan par chal rahey hen, yahi hey ALLAh tum sab ka palney wala usi ki saltanat chal rahi hey. jinhen tum us k siwa pukar rahey ho ! wo to khajoor ki guthli k chilkey k bhi malik nahin hen .(13)
agar tu unhen pukaro to wo tumhari pukar sunte hi nahin , or agar (bilfarz) sun bhi len to faryad rasi nahin karengey , bal k qayamat k din tumharey is shirk ka saf inkar kar jaingey, ap ko koi bhi ALLAH jesa khabardar khabren na dega(sorat:35, ayat13-14)

(Reply of Sag-e-Taiba : Zara aap batao gey, yeh jo word hai jinhen or unhen in sey kya Auliya or Anbiya muraad hain? Kya yeh aayaat mein Anbiya or Auliya likha hai?  Yeh aayat Buton k liye hain, Yahan per jinhen or unhen sey murad But(idols) hain, Anbiya or Auliya nai?  Kaafir hai woh shaks jo butoon(idols) ki aayat ko Anbiya or Auliya sey munsalik kardey. or Kaffiron ki aayat Musalmano sey munsalik kardey jaisa k is sey pehley uper pesh gayi aayat ki (soorat:6,ayat:50)  aayat  mein karney ki koshish ki gayi. (sorat:35, ayat13-14) Must seet the Attachment 6.jpeg

Kya is Aayat mein likha hua hai, Anbiya or Auliya sey mangna shirak hai?
I NEED ANSWER.

-------------------------------------------------------------------------------------
Ap keh dijye ! k main koi bilkul anokha paighambar to nahin, na mujhey ye maloom hey k merey or tumhary sath kia kia jay ga, main to sirf  Us ki pairwi karta hon jo meri taraf wahi bheji jati hen or main to sirf alal e'lan agah karney wala hon(soorat:46,ayat:9)

(Reply of Sag-e-Taiba : Bazmi sahab aap bata ney waley they Anbya Auliya sey mangnga shirak hai, or aap tho ilam-e-Gaib k baarey mein shuru ho chukey ho? yeh kya hai, Chalo hamara tho Imaan hai k Nabi-e-Paak SAW ko Allah ki Ata sey ilam-e-Gaib hai. or yeh bhi isi aayat ki tafseer mein mojud hai. Must read Tarjuma with Tafseer. Attachment 7.jpeg and 8.jpeg.  is aayat ki Tafseer Adhi 7.jpeg mein or Aadin 8.jpeg mein hai. read both.


--------------------------------------------------------------------------------------

wesey poora Qura'an majeed Us ki har ek ayat dil karta tha likh don ...well

(Reply of Sag-e-Taiba : Bami sahab, Main ney kaha tha k Anbiya or Auliya sey mangna shirak nai hai. or us per aapney Quraan ki Chand aayat pesh ki, Main ney us ka jawab aapko Quraan ki unhi aayat sey diya. or mera chalange tha k koi sabit kar k dikha dey k Anbiya or Auliya sey mangna shirak hai. main ney sab ko chalange kiya tha magar aapney aisi ek aayat bhi nai bataye jismein kaha gaya ho k Anbiya or Auliya sey madad mangna shirak hai. aapney kaha poora Qura`an. Main chahata hu agar aap ab bhi kuch pesh karna chahatey hain Quraan sey tho Sabit karo. Ek aayat Pura Qur`an tho door ki baat hai, Ek aayat dikha do jismein likha ho k Anbiya or Auliya sey mangna Shirak hai.


ab ek tareekhi waqia arz hey ... main zyda tool nahin donga is email ko isi ley ek wo waqia jo main pehley bhi share ker chuka hon wo yahan phir se share kerta hon ...

Hazrat Anas (ra) kehtay hain k Jab qehet prta, Umer-bin-Khattab(ra) Hazrat Abbas(ra) -ibne-Abdulmutlb k waseelay se baarish ki dua krtay aur kehtay:

"Ay hamaray Allah! ham teri taraf apnay Nabi(peace be upon him) ka waseela ikhtiyaar krtay thay (yani un ki zindagi main un say dua krwaatay thay). Aur Tu hamein seraab krta tha. Ab (Aap (peace e pon him) ki wafaat k baad) teri taraf apnay Nabi(peace be upon him) k chacha ka waseela ikhtiyaar krtay hain (Yani un se dua krwaatay hain) ps tu ham ko paani pila." Anas-bin-Maalik(ra) kehtay hain "Ps wo seraab kiyay jaatay thay".
[Sahih Bukhari , Hadeeth 1010]


(Reply of Sag-e-Taiba : isey kehtey hain Haq, Main ney kaha tha k Anbiya or Auliya sey mangna shirak hai aap sabit karein, Magar yahan aapney he Bukhari ki ek Hadeeth Pesh ki hai, Jismein aap ney likha hai K

Umer-bin-Khattab(ra) Hazrat Abbas(ra) -ibne-Abdulmutlb k waseelay se baarish ki dua krtay aur kehtay

or tho or aagey
"Ay hamaray Allah! ham teri taraf apnay Nabi(peace be upon him) ka waseela ikhtiyaar krtay thay

in dono baaton sey tho bilkul saaf hai, k Allah k Nabi SAW ka waseela ley kar Sahaba ney dua ki hai, or tho or Ahl-e-Bait Yaani Abbas(ra) -ibne-Abdulmutlb (Chacha) k Wasiley dua ki bhi hai, or woh dua Qubul bhi hai. tho ab is mein shirak kahan hua?



ALLAH k bargazeedah bandey bhi merey or ap jesey hen ...but unhone apni ibadat or sakht jaddojuhad or ALLAH ki mohabbat main aik khas muqam hasil kar lya ...or hamen bhi ek rasta bata gay k is tarah chalo gay to falah pa jao gey...

ALLAH ham sab ko rah e hidayat p chalay or har har qadam per hamari madad farmay ...behsak Ya RAb teri madad k baghair ham kuch nahin ...

Main ney jab bhi Chalange kiya tha or Ab bhi usi chalange ko wapas yaha copy karra hu:

Hum sab sunni unhey Allah keh kar yaa Allah samajh kar nai pukartey, Hum unhey Allah k paak barguzeeda bandey samajh kar pukartey hain. or aisa karna Shirak nai hai.

or Agar aap is ko Shirak kehtey ho tho Challange hai aap sab ko Quraan or Ahadees ki Roshni mein aap saabit kar k batao yeh shirak hai. I challange to All, (Wahabi, Deobandi, Tabligee, Shia, Ahl-e-Hadees, Naayaki, Chakdalwi, Rafizi, etc etc or jo jo bhi tabkey firkey hain sab ko challange).

To
     Zeeshan

kyon k main Bazmi sahab ka email ka answer likhraha tha isliye aapka answer na likh saka, magar aapka answer bhi Zarrur dunga, Merey paas waqat ki Qillat hai, warna aapka b answer zarur likhta. Insha Allah aapko mera reply ek do din mein zaroor milega.

Aasi O Gunah Gaar Talib-e-Madina
Sag-e-Taiba




 



From: "Aasi-O-Gunahgaar, Talib-E-Madina" <sagetaiba@gmail.com> Cc: architectsherry@gmail.com; zshansiddiqui@hotmail.com; slamdua@gmail.com; usmanqasim@hotmail.com; syedirfanashraf@gmail.com; usmaniasso@yahoo.com; finance@nisarspinning.com; sharif@umergroup.com; farooq@mohammadfarooq.com; soul_of_bazm@yahoo.com; Sapphire <info@lhr.sapphire.com.pk>
Sent: Mon, November 29, 2010 3:01:56 AM

Subject: Re: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!

Sherish Theba, Zeeshan Siddiqui, Usman Qasim,

 
     Waisey yeh Muzakira bohot lamba ho gaya hai, Kai logo ney ikhtelaaf kiya, k Hindu poet ki poem pesh ki gayi, jisey apney aapko Musalmaan kehney walon ney dusrey musalmano ko Mushrik kehna shuru kiya. Us poem k Mutabiq, Pehley Aitrazat huvey. k

1) Mazarat-e-Auliya per jana shirak, (iska jawab diya gaya tho)
2) Phir kisi ney aitraaz kiya jaana nahi bal k waha jaakar ziyarat karana shirak.( Iska jawab diye tho)
3) phir kisi ney aitraaz kiya nai nain wahan jaakar Maangney per aitraaz hai.
4) kisi ney kaha k nai Pakki Mazaar bananey per Aitraaz hai. Aitrazat tho bohot huvey or Ab bhi ho rahey hain, or yeh jitney bhi Aitraazat hain sab Mazarat-e-Auliya ko lekar he ho rahey hain.

Kuch ney itna Maan liya k Mazaar per Jaaney mein koi haraj nai, Magar Manney sey problem hai or kuch kehtey hain Pakki mazaar sey problem hai.       

Sherish Theba,

          Aapney jo yahan per kaha ha, kis had tak sahi hai? Main aap sey ek request karta hu jo aap log kehtey ho. kehney sey pehley zara tehqeeq karlo. Hum per nahi khud per he ek Ehsaan karlo badi meharbaani hogi.

Agar aap log kuch galat nigah sey dekh letey ho or us ki tehqeeqat kiye bagair Agar koi bad kalemaat kehtey ho tho ismein kis galat kon hai?

Galat(Buri) Nigah or Galat(Buri) Soch ki ek misaal deta hu.

Ek Gair Shaadi shuda (Unmarried) Ladka, ek ladki ko Madarsa bike per chor kar aaya tho us ladkey k dost ney kaha, kyon miya Dadhi(beared) rakhey phirtey ho, Aalim, Moulana, shareef jaisey lagtey ho per phir bhi Ladkiyon ko apni bike per bitha kar ghumtey ho? kaisey besharam insaan ho? Sab jaantey huvey bhi galat kaam kartey ho?

Tho jaantey ho us ladkey ney kya jawab diya?

Usney kaha "woh meri (Didi)behan hai".

Main yeh kehna chahata hu, kai baar aisa hota hai, jo hum dekhtey hai or jisey hum galat feel kartey hai, woh dar haqeeqat galat nai hota. kyon k waha hamari soch galat hoti hai. Isiliye jab bhi kuch dekho or kisi k baarey mein kuch galat ya bura kehna chaho tho pehley confirm karlo kya haqeeqat mein woh galat hai?

Main sab sey pehley is baat ko clear karna pasand karuga, jo aapney yeh ilzaam lagaya hai woh bilkul galat or beybunyaad hai.

Pehley Hum Ahl-e-Sunnat o Jama-at ka Aqeeda maalum karo phir fatwey lagao.

Hum Sunni Mazarat-e-Aauliya per sajdey nai kartey, Or na he kisi Sunni Jama-at k Aalim ney kabhi hukum diya hai k Mazarat-e-Auliya per sajdey karo.

Magar Sabsey badi galat fehmi aap logo mein jo moujud hai woh yeh hai.

Hum Mazarat-e-Auliya ko bosa(chumney) k liye jhuktey hain, Or Hum Sahib-e-Mazar k Qadmain shareefain ka bosa letey hain, unhey sajda nai kartey. or is amal ko aaplog sajda samajhtey ho apni Naaqis Aqal ka istemaal kar key. kyon k aap log Aalim sey puchna apni shaan k khilaf samajhtey ho or apney aapko duniya ka sab sey bada aalim samajh baithy ho. Allah aapko neik hidyat dey or Sahi Aalim-e-Deen sey contact mein rehney ki tofique dey.

Is Amal ko Huzur Mufti-e-Azam ney apney Naatiya Ashar mein u farmaya.

Sang-e-Dar-e-Jana per karta hu jabeein sei
Sajda na samajh najdi sar deta hu nazrana.

Ab bhi aap k dil mein ab bhi kuch shak baaqi hai jisey main mehsus karsakta hu, yeh merey Rab ney Nabi-e-Paak(SAW)  k Sadqey mein hum Gulaman-e-Muhammed(SAW) ko ata kiya hai. or woh shak jo aap k dil mein baaqi hai woh yeh hai. k Aaj bhi kai log Khawja Ghareeb Nawaz Rehmatullah hi tala Alai ya dusrey Auliya k mazaarat per sajda kartey hain. tho unkey baarey mein kya kaho gey?  ( Am i right? )

Tho yeh lo iska jawab.

Mazarat-e-Auliya per Musalmano sey zyada tadad(count) mein hindu jaatey hain, yeh baat main nahi aap khud kisi hindu sey puchu, kyon k aapko ek musalmaan sey zyada ek hindu ki baat per bharosa hai, jiski daleel wo nazam(poetry) hai jisey kisi hindu ney likha or aap ney us k base per musalmaano ko Mushrik kehna shuru kar diye. Yeh Hindu aap logo k aalim-e-deen maalum hotey hain kyon k aap ek Sahi Momin Aalim-e-deen ki bajaaye, insey Mashawara(Advice) letey ho.


Agar koi Hindu Topi (Muslim Cap) lagar kar Khawja Garib Nawaz Rehmatullah hi taala Alai k maazar per sajda karta hai tho kya aap us k Amal sey purey Ahl-e-Sunnat wo Jamat ko Mushrik kahogey?

Abhi ek or Aitraaz aap k dil mein mojoud hai.

or aap kaho gey "Nai nai, Main tho kai Musalmano ko bhi dekha hai sajda kartey huvey. tho ab un k liye kya kahogey?" (Am i right?)

Iska bhi Jawaba hai. or woh yeh padho.

Agar koi Musalmaan jo Mazarat-e-Auliya k aadab sey na wakif hai, agar woh nahi jaanta k Ziyarat-e-Mazarat-e-Auliya kaisey ki jaati hai? Tho Humara yeh kaam hai k hum usey Aadab sikhayen, na k us per Shirak ka fatwa dey dien. or us sey keh dein k nai, Mazar per jaana he shirak hai, Na jaayega Mazar per or na karey ga shirak.  tho yeh jo tareeka aapka hai, woh bilkul galat hai.

iski b misaal deta hu, Main misaal isliye deta hu k Aap Aqal waley maalum hotey ho.

Agar koi baccha Namaz galat tarika sey padhey tho aap us ko Namaz ki adaigi ka sahi tarika batatey ho. Aap usko namaz sey nai roktey.  Kyon k agar woh namaz galat tarika sey padh raha hai, agar aap usko samjaho gey tho woh sahi tarika sey padhey ga. Magar aap kaho k nai bhai, Namaz he rok do, Na pahey ga namaz or Na hi kareyga galati. tho yeh Soch aap ki galat hai.


Ab rahi baat Shirak ki, tho Suno Hum Ahl-e-Sunnat wo Jama-at ka Aqeeda.

Allah ek hai, Allah ka koi Shareek nai, or Mohammed Sallahu Alaih wa sallam Allah k Bandey or Rasool hai.

Mohammed Sallah hu Alaih wa sallam Allah k Mehboob hain, Allah k Nabi(SAW), ka Darja Allah k Baad hai, Agar Allah k Baad, Sabsey Afzal,Aala  wo Bala Zaat, koi hai tho who Humarey Nabi Sarwar-e-Kaainat, Fakhrey Moujdaat, Hum Gunah gaaron ki Shafat karney waley, Hum gareebo k madagar, Aasiyon k Gamkhwar, Syed-ul-Abrar, Hazrat Mohammed Mustafa, Noor-e-Mujjasam (Sallah hu Alaih wa sallam) ki zaat-e-babarakat hai.

or Auliya Allah,      Allah k barguzida bandey hain. jinho ney Allah ki raza haasil kar li.

Hum Nabi-e-Paak, sey maangtey hain tho Unhey Ya Rasul Allah key kar pukaartey hain, Hum Unhey Allah k Rasul keh kar pukartey hain, Allah nai kehtey.or na hi Allah samajhtey hain, Or jo kuch bhi Rasul Allah (SAW) detey hain tho woh Allah ki Ata sey detey hain, Nabi-e-Paak Sallah hu Alaihwa sallam Kareem or Sakhi hain tho Allah ki Ata sey, Nabi-e-Paak Sallah hu Alaih wa sallak k paas jo khazaney hain woh Allah k ata kiye huvey hain.

isi tarah Auliya Allah bhi Allah ki Ata sey hum gareebo ko ata kartey hain. Hum sab sunni unhey Allah keh kar yaa Allah samajh kar nai pukartey, Hum unhey Allah k paak barguzeeda bandey samajh kar pukartey hain. or aisa karna Shirak nai hai.

or Agar aap is ko Shirak kehtey ho tho Challange hai aap sab ko Quraan or Ahadees ki Roshni mein aap saabit kar k batao yeh shirak hai. I challange to All, (Wahabi, Deobandi, Tabligee, Shia, Ahl-e-Hadees, Naayaki, Chakdalwi, Rafizi, etc etc or jo jo bhi tabkey firkey hain sab ko challange).


Aap sab log apney Badey badey Aalim-e-deen or Scholars ko ikkhata karlo, or Hum Ahl-e-Sunnat wa jamat ek taraf.

Dekhney waly, Padhney waley, Jaaney waley, sunney waley, or apney aapko zyada Aqalmand kehney waley bhi dekh lein kon Haq per hai?

Pehley two points ka jawab diya ja chuka hai.

1) Mazarat-e-Auliya per jana shirak, (iska jawab diya gaya tho)
2) Phir kisi ney aitraaz kiya jaana nahi bal k waha jaakar ziyarat karana shirak.( Iska jawab diye tho)

Teesrey point ka jawab is email mein diya hu.

Pehley or Dusrey point per tho aap logo ko koi aitraaz nahi, Agar koi kahey nai bhai, ab bhi aitraaz hai, tho Main kahuga previouse emails padho aap mein sey chand ney khud kaha hai k jaaney per aitraaz nahi hai. Or Agar koi kahey k hum ney nahi kaha tho main email or Date dono k saath aap logo ko reply karsakta hu.

4th ) Pakki Mazarat tho Pehley 3rd point per baat karlein, phir 4th Point per baat karein gey.

To  Zeeshan Siddique

           Zeeshan ney kaha k main ney email mein jhoot kaha hai Ahl-e-Hadees k baarey mein,

Yeh baat jo main kehney jaarah hu, yeh main apney dil sey nai kehra hu, Yeh baat  Ahl-e-Hadis ki kitaab mein likhi hai, or Ahl-e-Hadees yeh baat kehtey huye fakhar mehsoos kartey hain, Even Ahl-e-Hadees k Scholars b yahi baat kehtey hain.
wo Ahl-e-Hadees jamat k  Kalimaat yeh hain.
"Agar hamein taaqat haasil hoti, Ya phir hamari zyada mazahimat na ki jaati tho hum Gunbad-e-Khazra ko dha detey,"
Nauzbillah min Zalik, Maz Allah suma Maz Allah.
Mujehy unki kitaab or Aalim ka naam yaad nahi, but yeh main ney khud kisi Ahl-e-Hadees ki zubani or usney he kitaab mein padh kar sunaya tha. but main usko ab bhi jaanta hu, agar aapko yakeen na ho tho kisi Ahl-e-Hadees k scholar ya Aalim sey puch kar dekhlo or jab tak main b woh kitaab or Aalim-e-deen ka pata laga luga.

Agar main yeh Sabit kardu tho aap kya karo gey?

or jo aapney link bheji  hai woh yaha open nai hori,
http://www.shiatv.net/view_video.php?viewkey=24074754035a5a937d2e

or Waisey bhi yeh Shiatv.net  Shia website hai, or Shia ki main baat per yaqeen b nai karta, Shia is not Muslim.

Aasi-O-Gunahgaar, Talib-E-Madina


On Fri, Nov 26, 2010 at 9:08 PM, Sherish Theba <architectsherry@gmail.com> wrote:
I so second usman qasim, islam aur sab se uppar Quran mazaar banane, aur un pe sajda karne ka hukum nahi deta, kisi paare ki kisi surah ki koi ayaat nahi deti, quran mei shirk karne se bara gunah aur koi nahi maana gaya, aur hinduon ki rah par chalte hamara kuch tabqa haqeeqat bhool gaya hai k Quran hamein yeh taleem nahi deta,

n @ Aasi-O-Gunahgaar, Talib-E-Madina, n Sapphire i m sorry dont mean to hurt you, but akaal ka koi takaza bhi hota hai, har baat ke liye agar moulviyon se poochne ki zaroorat hoti, tou aaj nabuwat khatam hi na hoti, Allah ne quran mei kai daffa likha hai k "hum ne tumhare liye quran ko asaan kar diya", ho sake tou in pak ayaaton pe yaqeen hum insano se zyada kar lijiye ga, i m sure kisi aalim-e-deen se kam se kam shirk jaise gunahon ke clearance ki zarurat nahi pare gi,,, jawabbat kafii hadd tak aapko khud mil jaye ge....

May Allah bestow mercy on all of us n direct us to the right path...  n give us the  power to hear the truth wid patience n strength to grab what is right rather then argue n listen to what is wrong to do tehqeeq n find the utter truth.. Ameen...

Dat is how we can learn by still remaining unified....Inshaa Allah
Take care, n 
Allah hafiz


On Fri, Nov 26, 2010 at 4:42 PM, Usman Qasim <usmanqasim@hotmail.com> wrote:
Jazbatii taqreer karnay say kuch nahi hota.. baat hindu ki poem say mutasir honay ki nahi hai. baat ya hai k us may jo likha hai kya wo galat hai???? agar galat likha hai tu baat khatam ho jatii.. zaida gussa app logo ko tu ese baat ka hai us nay sach likhaaa hai kyun k aisa he ho raha hai


 
 
 





From: info@lhr.sapphire.com.pk
To: joinpakistan@googlegroups.com
Subject: RE: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!
Date: Fri, 26 Nov 2010 15:26:02 +0500


Tanqeed karna in ka vateera ban chuka hai, yeh kisi surat baaz nahi a'ain gay aur ghair muslimon ka sahara la kar musalmanon ko degrade karna aur un ma fasaad phelana in ki purani aadat ho chuki hai...
 
In kay ilm o aqqal ka yahin se andazah ho jata hai k yeh aik hindu ki poetry se mutasir hain jesay Nauzubillah woh Qurah ho...
 
-----Original Message-----
From: joinpakistan@googlegroups.com [mailto:joinpakistan@googlegroups.com]On Behalf Of Aasi-O-Gunahgaar, Talib-E-Madina
Sent: Friday, November 26, 2010 2:25 PM
To: joinpakistan@googlegroups.com
Subject: Re: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!

Dear All


Agar ek hindu poet kuch likhey or aap log itna serious ley kar, usey haq maantey ho tho, Aap musalmaan or Mushrik k beech faraq saabit karney k liye kisi hindu poet ka sahara leingey?

Kya aapney sahi Aalim-e-deen sey is baarey mein ruju (tazkira) kiye ho?

Aaj siraf or siraf ek he religion apni sahi haalat mein zinda hai, tho woh siraf or siraf Muslim religion hai, Deen-e-Rasool Allah (SAW). is baat ko saari duniya maanti hai, per kuch Musalmaan he hain jin ko shak hai, woh bhi kisi Hindu poet ki waja sey.

Woh hindu poet jisey khud uska religion ka sahi naam tak nahi pata, woh Musalmaano per poem likhey tho kuch padhey likhey log usey sahi samajh kar fatwey dena shuru kar detey hain. 

Kya aap log Sahi ho? or yeh kis Hindu ney likhi hai? kon hain woh? kaha rehta hai? kuch pata hai aapko? 

Jab nai maalum tho kyon apni zubaan islam k liye kholtey ho?

Yeh Deen-e-Islam hai, Allah ka deen, kisi ki soch ya falsafa nai k jo chaho kehlo.

Hope you guys understand it.

Aasi-O-Gunahgaar, Talib-E-Madina


On Thu, Nov 25, 2010 at 11:02 PM, Zeeshan Siddiqui <zshansiddiqui@hotmail.com> wrote:

Dear All,

I can’t able to understand that why we wish to close our eyes and why non-muslims has become derider upon us. Why we left teachings of Nabi (Sallalaho Alaihe Wa Aalehi Wasallam) when Allah’s apostle (Sallalaho Alaihe Wa Aalehi Wasallam) taught us that we should worship of saints and build their tombs. Aren’t we going on the track of Hindus & Christians. Yes indeed we are doing same thing more or less. We all should do our betterment according to Quran & Sunnah.

We should go on the narrow way by Allah’s mercy.

AMEEN






From: info@lhr.sapphire.com.pk
To: joinpakistan@googlegroups.com
Subject: RE: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!
Date: Thu, 25 Nov 2010 11:11:39 +0500


Yes, its nothing except wrong presumptions and creating hatred in the name of ISLAM...
 
-----Original Message-----
From: joinpakistan@googlegroups.com [mailto:joinpakistan@googlegroups.com]On Behalf Of Usmani Associates
Sent: Thursday, November 25, 2010 10:47 AM
To: joinpakistan@googlegroups.com
Subject: Re: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!

I agree with Syed Irfan Ashraf, Peshawar. There are so many problems which we are facing. It is time to be positive and trained our mind according to according to Islamic form. Islam does not believe in cast system. This poem lead us to wrong direction.

Muhammed Hussain Vegelpoory
New Karachi


--- On Wed, 11/24/10, Irfan Ashraf <syedirfanashraf@gmail.com> wrote:

From: Irfan Ashraf <syedirfanashraf@gmail.com>
Subject: Re: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!
To: joinpakistan@googlegroups.com
Date: Wednesday, November 24, 2010, 9:30 PM

Dear friend this poem is not even worth reading. I am surprised as to
why you have given it so importance to import it impatiently from
across the border and present it before us. Please don't deal in
trading hatred. We already have tons of it. Do something more
constructive.

Regards
Syed Irfan Ashraf,
Peshawar

--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197


--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197

--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197

--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197


--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197

--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197

--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197


--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197




--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197

--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197

No comments:

Post a Comment