Friday, August 13, 2010

**JP** Kuch Masjid-e-Aqsa kay baarey mein

Kuch Masjid-E-Aqsa kay baarey mein

Sub say Pahele Hazrat Ibrahim (P.b.u.h) aur enkay bhatije Loot (P.b.u.h)
Ney barkat wali sar zameen yaani Palestine (Baitul Muqadas) Ke Taraf Hijrat ke thi, en kay Taqreeban 600 years baad Allah Talah ney Bani Israel ke Qoam Firoon Ke Ghulami say neejat deelakar es Babarkat sar zameen mey jagha dee, phir mazeed Aadai Teen Sou Saal Baad Hazrat Dawood (P.b.u.h) aur Hazrat Sulaiman (P.u.b.h) kou Yaha Baadshahat Aata hui, 620 eesvi mey Nabi Kareen Mohammed (P.b.u.h) Jabreel Alhe Salam ke rahenumai mey Makkah say Baitul Muqadas Pahuchey aur waha say Mehraj-e-Aasmani kay Liye Tashreef lay gaye.

Yaha Musalmano ka Qeebla-E-Aawal, Masjid-e-Aqsa aur Qubta Al Sehra 
Waqey hain, essey Europi Zabano mey Jerusalem kehte hain, Baitul Muqadas say murad Mubarak ghar yaa Asia Ghar hain jis kay zariye Gunaho say Pak Huwa Jaata Hain, Paheli Saadi (B.C) Jab Roomio ney Jerusalem per khabza kiya tou Enho ney essey Eelia ka naam diya tha, Makkah mukarama say Baitul Muqadas ka faasla 1300 Kilo meter hain shaher Baitul Muqadas 
31 Darje 45 Daqeye aarz Bald shumali aur 35 darje 13 Daqeye Toul Bald Mashreeqi Per Waaqey hain, Baitul Lahem aur Alqaleel eskay Junub mey hain aur Rammalla Shumal mey hain. Baitul Muqadas Pahadio per Aabad hain Enhi mey say Ek Pahadi kay naam kou Sahion (Zion) hain jis kay naam per Yahoodio ke Aalami Tahreek Sahuniat Qayam ke gai hain.

Majid-E-Aqsa: Hazrat Yaqoob (P.u.b.u) ney Wahi Elahi kay Mutabiq Masjid Baitul Maqadas (Masjid-E-Aqsa) ke Buniad Daali aur Es ke Wajhe say Baitul Muqadas Shaher Aabad huwa, Phir Aarsay Daraz kay baad Hazrat Sulaiman (961 B.C) kay Hukum say Masjid aur Shaher ke Tajdeed ke Gai, Esiliye Yahood Masjid Baitul Muqadas kou Haikal-E-Sulaimani Kehte Theay.

Haikal-E-Sulaimani Ke Taabahi: Haikal-E-Sulaimani aur Baitul Muqadas kou 586 (B.C) mey Shah Baabil (Iraq) Baqat Nasra Ney masmar Kar diya tha aur wooh 10 Lakh Yahoodio kou Ghulam Bana kar apne saath Iraq lay gaya Tha, Baitul Muqadas kay es Dour-E-Barbadi mey Hazrat Aziz (P.b.u.h) ka waha say guzar huwa tou enho ney es Shaher kou murda paaya aur Tajub Zahir kiya kay Kya yeh Shaher Kabhi Phir Aabad Hoga ?? Es Per Allaha Ney Enhe Mout Day dee aur jab 100 Years Baad wooh Jaagey tou Dekh Kar Hairan huwey Kay Baitul Muqadas Phir aabad aur Pur Ronaq Shaher Ban chuka Hain. Baqat Nasra kay baad 539 (B.C) mey Shahinsa Paras kou Roosh Kabeer (Sairas Azam) Ney Babul Fateh kay ke Bani Israel kou Palestine wapas jaaney ke ijazat dey dee thi Aur Enhoney Baitul Muqadas Shaher Shaher aur Haikal-E-Sulaimani Phir say Taameer ker liya tha, Jerusalem Per Doasri Tabhi Roomio kay Daur mey Naazil hui, Romi Jernail Titus ney 70 Eesvi mey Jerusalem Shaher aur Haikal-E-Sulaimani dono Masmar kar diye.
Islami Ahd mey Masjid-E-Aqsa Ke Taamir: 137 (B.C) mey romi Shahensha Hadrean ney shorida sar Yahoodio kou Baitul Muqadas aur Palestine say Jeela Watan Kar diya, Chouti Saadi Eesvi mey Roomio ney Eesaeeyat Qubool kerle thi aur Baitul Muqadas mey Gerja Ghar Tameer kiya. Jab Nabi Kareem Mohammed (P.b.u.h.) Mehraj kou jaatey huwey Baitul Muqadas Pahuchey es waqt koi Baiqada Masjid Thi Naa Haikal, chunachey Quran mey Es Jagha hee kou Masjid-E-Aqsa kaha gaya jaha Hazrat Yaqoob (P.B.U.H.) ney Masjid Banai 17 Hajri Yaani 639 Eesvi kou Ahd-E-Farooqi (Razi Allaha hu Talha anhu) mey Eesaio say kiye gaye ek Ahd kay Tahet Baitul Maqadas Per Musalmano ka Qabza hou gaya, Khaleefa Abdul Mulk Kay Ahd mey Masjid-E-Aqsa Ke Tameer aamal mey aai aur Saqra-E-Mehraj Per Qubtaul Saqra banaya gaya. 1099 Eesvi (492 Hijri) mey Europe Salebio ney Baitul Muqadas per Qabza kar kay 70 Hazaar Musalman Shaheed ker diye, 1187 Eesvi
(583 Hijri) Mey Sultan Salha Uddin Ayubi Ney Baitul Muqadas kou Eesaio kay kabzey say chudaya.

Baitul Muqadas Per Yahoodio Ka Kabza: Paheli Jung-E-Azeem kay douran September 1917 Eesvi mey Angrayzo ney Baitul Muqadas aur Palestine per Qabza kar kay Yahoodio kou Yaha Aabad Honey ke aam ijazat dey dee.
Yahood-O-Nasara ke Saazish kay Tahet Nou November 1947 Eesvi ney 
Aqwan-E-Mutheda Ke General Assembly ney Dhandli say kam leyte huwey Palestine kou Aarbo aur Yahoodio mey Taqseem ker diya aur Jab 14 May 1948 Eesvi kou Yahoodio ney Israel kay Qeeyam kaa Elaan kar diya tou Pahlei Arab Israel Jung Chid Gai. Es Jung kay Nateje mey Israel Palestine kay 78 Percent Raqbey Per Khabis hou gaye" Taaham Mashreeqi Jerusalem 
(Baitul Muqadas) Samayet Garab Jordan kay Elaqa Jordan kay Qabzey mey aagaya. Teesri Arab Israeli Jung (June 1967 Eesvi) mey Israilio ney Baqeya Palestine aur Baitul Muqadas per bhi Taslat jama liya, yu musalmano ka Qeebla-E-Aawal Aab Yahoodio kay Qabzey mey hain. 70 Eesvi ke Tabahi say Haikal-E-Sulaimani Ke Ek Deewar ka Kuch Hissa Baccha huwa hain jaha 2 Hazaar Saal say Yahoodi Zairain Aakar Roya kerte Theay . Esiliye Deewar Gariya Wailing Wall Kaha Jaata hain. Aab Yahoodi Masjid-E-Aqsa kou Geerakar Haikal Tameer kerne key Mansubey Banatey Rahetey hain Jinhey Muslim Mumalik kay Kamil Eetehad hee say Naa kam banaya jaa sakhta hain aur Phir Majid-E-Aqsa kou Kisi Sultan Salha uddin Ayubi ka Intezar hain????
Israel Ney Baitul Muqadas kou Apna Daulhukumat (Capital) Bana Rakha hain. 
Note: Upper likhi gai muqatasar Se tareeq padh kar kya aap mey say koi bata sakhta hain kay kab tak yeh masjid kisi Salah uddin Ayubi kay intezar mey rahegee? Kya aap yeh bata sakhte hain kay kab tak hamari peshania Booto Mazaro kay samney jhukai jayeange???? kya aap bata sakhte hain kay hum Musalman sirf Iman ka daawa hi karte raheange aur Ek Doasro kou Kafir kehte Raheange ya kabhi aamli zindagi mey bhi Islam kou naafis kareange????? Kyu hum Ek Nahi ho rahe hain jab kay iqbal ney kaha tha Munfiyat Ek hain es qoom ke Iman bhi kaaba bhi ek hain aur Quran bhi Ek kitni badi baath hoti jo hotey hum musalman bhi ek….. Aap ke rai ka muntazer Mohammed Salman……….. Allaha Hafiz.

No comments:

Post a Comment