As Salaam o Alaikum,
=> Yeh email Part 5 hai jo k related hai Windows and Computers ko Fast kernay se. Same email English mein bhi bhej raha ho. Ager woh na milay to mujhe email ker k pooch lejeye ya phir meray blog http://omgeureka.blogspot.com per ja ker parh lejye ok.
Ager ap ko previous emails nahi mili hai to mujhe email ker k mang lejye omg.eureka@gmail.com ya phir meray blog http://omgeureka.blogspot.com per ja ker parh lejye. Is per blog per daily IT related dosray Articles and News bhi update hoti hai. And ap mujhe facebook ya Twitter per bhi search ker k meri email id se add ker lejeye as a friend taqay koi email meri miss na ho aur ap ko IT se related News / Article / Updates milti raheingi. |
Kia yeh khubsorat aur stylish kissam k fonts hamaray PCs ko slow ker saktay hai. Well buhat sari applications hai jo buhat different kissam k fonts use kerti hai mager un mein se buhat saray fuzool kissam k bhi fonts hai. Un ko system mein se hatanay se computer ki performance per farq parh sakta hai
Sab se pehlay to apka pc boot hotay waqt saray fonts load kerta hai startup mein. Us k baad jab bhi ap kissi software ko start kerna chahtay hai for example Ms-word ya Adobe Photshop wagera to yeh softwares load hotay waqt system mein jitnay fonts hai unko load kertay hai pehlay phir start hotay hai. To ager fonts ap k pass buhat saray hai, to yeh softwares (especially graphics softwares) buhat der se load hongay aur time beqar mein waste hoga (depending on the RAM) |
Baaz laug kaheingay k humne fonts to install kye nahi hai mager phir bhi kafi ziada fonts installed hai computer mein. Iski wajah yeh hai k jab bhi ap software install kertay hai, to woh software apnay sath kuch fonts bhi install kerdetay hai. aur issi tarah se time by time ap k computer mein fonts softwares ki wajahse install hotay rehtay hai automatically |
Rule of Thumb: Best practice says that 500 k qareeb fonts ap k system mein ho to problems nahi hongi. mager belive me, mera experience kehta hai k 500 bhi buhat hai. Mein to kahounga k 200 ya 250 fonts had se ziada hai. Inko bhi manage kernay k lye apko font manager chaiye hoga ager ap different fonts ko use kernay k shokeen hai. |
So now what i have to do? Ap seedha fonts ki directory mein ja ker fonts ko delete nahi ker saktay. Kafi sari applications k default fonts hotay hai aur ap k operating system k bhi system fonts hotay hai jo k unko her haal mein chaiye hotay hai. To sawaal yeh hai k phir pata caisey chalayga k kaunsey fonts rakhnay hai aur kaunsay nahi Well mujhe 1 buhat hi zaberdast kissam ki list About.com per mili hai. Inho ne kafi detail mein list banai hai k kaun kaun se fonts delete nahi kernay chaiye. Aur list mein bataya hai k kaun se fonts ap k operating system ko chaiye hotay hai aur kaun se fonts dosray softwares ko chaiye hotay hai. Woh list dekhnay k lye ap yaha Click Karay. |
Solution: An easy apporach …. Ap jitnay falto k fonts hai woh nikal de aur rakhay sirf wohi fonts jo buhat necessary hai. Apni next email mein mein apko bataounga k Fonts ko caisey uninstall kertay hai aur caisey install bhi kertay hai. Please advise below your suggestion and comments.
Apnay reviews aur comments zaroor bhejyega jis ka intezaar rahayga. Ap mujhe meray bloghttp://omgeureka.blogspot.com per ja ker bhi post k neechay comments de saktay hai jo k ziada behtar hai. Ap mujhe Facebook ya Twitter per bhi add ker saktay hai jis k lye meri id haiomg.eureka@gmail.com. Waha per search ker k mujhe add ker lejeye taqay ap ko meri sari emails aur IT se related update / News / Article milti rahay. |
Contact me: omg.eureka@gmail.com omg.eureka@googlewave.com
Please consider the environment before printing this e-mail! |
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197
No comments:
Post a Comment