1019~*Dasht_e_Tanhayi*~Pak Old...
Dasht_e_tanhayi main
Aye jaan_e_jahan larzan hain
Teri aawaz k saye,tere hontoon k sarab
Dasht_e_tanhayi main douri k khasokak tale
Khil rahe hain tere pahlo k saman aur gulab
Uth rahi hay kahin qurbat se teri sans ki aanch
Apni khushbo main sulagti hui, madhm madam
Dour afaq par chamakti hui,qatra qatra
Ger rahi hay teri dildar nazar ki shabnam
Isqadar piyar se aye jaan_e_jahan rakha hay
Dil k rukhsar pe is waqt teri yaad ne hath
Yun guman hota hay garche hay abhi suba_e_firaq
Dhal gaya hijr ka din,aa bhi gayi wasl ki raat
Internet Explorer 8. Sneller, veiliger en eenvoudiger dan ooit!
Discreet surfen? Download Internet Explorer 8 met InPrivate navigatie.
No comments:
Post a Comment