1164~*Ek Sham*~Pak Old....
Ek sham yahan kiya dekha
Takoon main deye jalte the
Phloon se saji ek mehfil thi
Sapne se kahi dhalte the
Aur aaj yahan kiya dekheen
Har taak main gham palta hay
Na woh phool rahe na woh deep rahe
Yadoon ka dhunwa jalta hay
Ek pal shohrat ki kaliyaan
Ek pal zelat k kante
Yeh sare bhar pal shole
Qudrat ne kaise bante
Ek sans hay gerti shabnam
Ek sans hay aag ka darya
Ek dharkan sher_o_nagma
Ek dharkan aah_o_geriya
Koi meri nazar se dekhe
Duniya ki haqeqat kiya hay
Mere tuute huwe dil se pouche
Insaan ki kimat kiya hay
Har subha qaza ka mousam
Har phool k sath khizaan hay
Har sham fana ki aandhi
Har deep k sath dhunwa hay
Apni apni manzel par
Har rah semant jaye gi
Jale phloon ki bujhe depoon ki
Yeh yaad bhi mitt jaye gi
No comments:
Post a Comment