Janab Talib-e-Madina,
Aap ne baghair sochay samjhay ek bohat barha challenge kardiya hai shayad aapne kabhi Quaraan-e-Pak ko sahih se nahi parha verna aapse yeh himakat kabhi na hoti. Is k liye kisi aalim ki zarurat nahi hai bas Quraani Aayat ko sahih se parh liya jaye tau shirk ki haqeeqat samajh mai aa jayegi. Chand aayaat darj-e-zail hain mulahezah kijiye:
"Aur in se poochho keh tum ko aasmaan aur zameen mai rizk koun deta hai ya tumharay kaanon aur aankhon ka malik kaun hai aur bejaan se jaandar kaun paida karta hai aur jaandar se bejaan kaun paida karta hai aur duniya ke kamon ka intezaam kaun karta hai? Jhat kehdaingay keh Allah. Tau kaho keh phir tum (Allah se) dartay kyun nahi?" (Soorah-e-Younus:31)
"In maise aksar Allah ko mantay hain magar istarah keh iske saath doosron ko shareek thratay hain" (Soorah-e-Yousuf"106)
Shah Waliullah Muhadith dehalvi (Rahimahullah) apni kitab Hajjatul Balighah Jild: 1 Page: 347 per mushrikeen-e-jahiliyat ke baray main farmatay hain:
"Arab ke mushrikeen musalmano ke saath is akeeday mai mutafik thay keh zamen o aasmaan mai jo barhay barhay aham tasarrufat hotay hain in ki tadbeer khud Allah Ta'ala fermata hai' in ke hal o akad ke silsilay mai kisi doosri hasti ko kuch bhi dakhal nahi' lekin is se aagay in ko muslamano ke akeeda-e-tauheed se ikhtelaf tha. In ke akeeday ka khulasha yeh tha keh Allah (Subhanahu Wa Ta'ala) ke ba'az naik banday hain jinhone apni aziz umrain is ki yaad aur is ki ibadat main sarf kein aur who kaam kartay rahay jin ki badotal inko Allah (Subhanahu Wa Ta'ala) ke haan bohat barha darja-e-qurb hasil huwa. Isliye isne inko khla'at aluhiyat se sarfaraz farmaya aur inko is alam ke ba'az tasarrufat ke ikhtiyar diya aur isliye woh is baat ke mustahik hain keh hum inki parastish karain. Iski misaal who yeh bayan kartay hain keh jis tarah ek barha azeem-ul-iktedaar shahenshah apne mataheton mai jab kisi aisay aisey shakhs ki khidmat se khush hota hai jisni apney aapko is daman-e-sultanate ke saath wabista kar rakha hai tau isko kisi soobay ka hakim banadeta hai aur is soobay ke muamlaat mai har tarah ka tasarruf karne ka isko poora poora ikhtiya de deta hai aur is soobay ke bashindon ka yeh farz hai keh who dil o jaan se iski ita'at karain aur ike wafadar rahain. Isi tarah jab tak hum in burgazeedgan-e-bargah ki parstish aur oobudiat ka haq ada nah karain. Barah-e-raast Haq Ta'ala ki ibadat karma besood hai. Balkeh haqeeqat yeh hai keh is ki Zaat-e-Akdas ka darja is kadar baland hai keh hum barah-e-raast uski Bargah-e-Akdas mai faizyab ho hi nahi saktay aur inke tawassul ke baghair hamaray liye uska qurb hasil karma mumkin nahi. Janab-e-Bari Ta'ala ne apne kalam-e-mukaddas mai in ke is akeeday ki in alfaz mai tarjumani farmayi hai: (ma na'abudohum illa liyuqrriboona ilallahi zulfi)hum tau inki parastish sirf isliye karte hain keh who hum ko Allah Ta'ala ke bargah-e-qurb tak pohoncha dain. Inka yeh bhi akeeda tha keh yeh ma'abood jin ko Allah Ta'ala ke qurb hasil karnay ka waseela banatay thay. Hamaray sab ahwaal ke hazir o nazir aur dekhtay hain . isliye jab hum inki ibadat karne se inki khushi hasil kar laingay tau who Allah Ta'ala ke haan bamari shifa'at karaingay: (wa yaquloona haoolaaye shufa'aau na 'indallahi) inka yeh akeeda tha keh yeh hamaray hajat rava aur mushkil kusha hain.
"Aey Nabi (Salllahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam) keh do keh logon! Agar tum abhi tak mere deen ke muta'aliq kisi shak mai ho tau sunlo keh tum Allah ke siva jin ki bandage kartey ho mai in ki bandage nahi karta balkeh sirf usi Khuda ki bandage karta hoon jis ki kabsay mai tumhari maut hai. Mujhay hokum diya gaya hai keh mai eeman lanay walon mai se hoon aur mujh se farmaya gay hai keh yaksoo ho kar apne aapko theek theek is deen par qaim karday' aur hargiz hargiz mushrikon mai se na ho aur Allah ko chhor kar kisi aisi hasti ko na pukar jo tujhey kisi musibat mai daley tau khud uske siva koi nahi jo is museebat ko taal dey' aur agar woh terey haq mai kisi bhalai ka irada karey tau uske fazal ko bherney wala bhi koi nahi. Woh apney bandon mai se jis ko chahta hai apney fazal se nawazta hai aur woh darguzar karney wala aur raham farmaney wala hai." (Soorah-e-Younus:104-107)
"Woh Allah hi tau hai jisney tumharey liye zameen ko jaye karar banaya aur ooper aasman ka gumbad bana diya' jisney tumhari soorat banayi aur barhi umda banayi jisney tumhain pakeeza cheezon ka rizk diya. Wohi Allah (jiskey yeh kaam hain) tumhara Rab hai. Behisab barkaton wala' woh kainaat ka Rab' wohi zinda hai. Uskey siva koi ma'abood nahi. Usiko tum pukaro' apney deen do uskey liye khalis karkey. Saari ta'areef Allah Rabbil 'aalameen hi key liye hai. Aey Nabi (Salllahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam)! In logon sey kehdo keh mujhey tau un hastiyon ki ibadat sey mana'a kardiya gaya hai jinhe tum Allah ko chhorh kar pukartey ho. (mai yeh kaam kaisey kar sakta hoon) jab keh merey paas merey Rab ki taraf se beenat aachuki hain. Mujhe hokum diya gaya hai keh mai Rabbil 'aalameen key aagay sar tasleem kham kardoon." (Soorah-e-Momin:64-66)
"Aur Allah theek theek belaag faisla karey ga. Rahey woh jinko(yeh mushrik) Allah ko chhorh kar pukartey hain' woh kisi cheez ka faisla karney waley nahi hain. Bilashubah Allah hi sab se behtar sunney wala aur dekhney wala hai." (Soorah-e-Momin:20)
"Aey zindan ke saathiyo! Tum khud hi socho keh bohat se mutafarrik rab behtar hain ya woh ek Allah jo sab par ghalib hai? Usko chhorh kart um jinki ibadat kar rahe ho who is key siva kuch nahi hain keh bas chand naam hain jo tumney aur tumharey aaba-o-ajdad ne rakh liye hain' Allah ne unkey liye koi sanad nazil nahi ki. Farman ravai ka iktedar Allah key siva kisi ke liye nahi hai us ka hokum hai keh khud us ke siva tum kisi ki bandagi na karo. Yehi thaith seedha deen hai magar aksar log jantey nahi hain." (Soorah-e-Yousuf:39-40)
"Aey Paighambar (Salllahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam)! Faisley ke ikhtiyarat mai tumhara koi hissa nahi' Allah ka ikhtiya hai chahey unhe mu'aaf karey' ya chahey saza dey' kyunkeh woh zalim hain. Zameen aur aasmaan mai jo kuch hai uska malik Allah hai' jisko chahey bakhash dey aur jisko chahey azaab dey' wo mu'aaf karney wala aur raheem hai." (Soorah-e-Aale Imran:128-129)
Hazarat Abu Huraira (Radhi Allah Anhu) ney kaha jab Allah Ta'ala ney yeh aayat uteri: (wa anzir asheera takal aqrabeena) tau Aan Hazarat (Salllahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam) kharhey huye aur farmaney lagey' aey quraish key logo! Ya kuch aisa hi kalmia kaha tum apni apni janon ko moul lo (bachao) mai Allah key samney tumharey kuch kaam nahi aaney ka. Aey abd manaf key baito! Mai Allah key samney tumharey kuch kaam nahi aaney ka. Aey Abbas (Radhi Allah Anhu) Abdul Muttalib key baitey! Mai Allah key samney tumharey kuch kaam nahi aaney ka. Aey Safia (Radhi Allah Anha) meri phoopi! Mai Allah key saamney tumharey kuch kaam nahi aaney ka. Aey Fatima (Radhi Allah Anha) Muhammad (Salllahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam) ki baiti! Merey maal mai se jo tujhey chahiye maang ley (mai doonga) magar Allah key saamney mai terey kuch kaam nahi aaney ka." (Sahih Al Bukhari, Kitab Al Tafseer)
"Aey Nabi (Salllahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam) kaho keh mai tau apney Rab ko pukarta hoon aur uskey saath kisi ko shareek nahi karta. Kaho' mai tum logon key liye na kisi nuqsaan ka ikhtiya rakhta hoon' na kisi bhalai ka. Kaho' mujhey Allah ki grift se koi bacha nahi sakta aur na mai uskey daman sey siva koi jaye panah pa sakta hoon. Mera kaam iskey siva kuch nahi keh Allah ki baat aur uskey paighamaat pohonchadoon. Ab job hi Allah aur us ke Rasool (Salllahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam) ki baat na maney ga uskey liye jahanam ki aag hai aur aisey log us mai hamesha rahengay." (Soorah-e-Jin:20-23)
Hazarat Ibn-e-Abbas (Radhi Allah Anhu) bayan kartey hain keh mai ek roz Rasoolullah (Salllahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam) key peechhey sawar tha keh Aap (Salllahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam) ney farmaya' aey bacchey! Allah Ta'ala (key ahkamaat) ki hifazat kar Allah Ta'ala teri hifazat kerega' Tu Allah Ta'ala (key huquq) ki hifazat kar tu Allah Ta'ala ko apney saamney payega. Aur jab tu sawal (ka irada) karey tau Allah Ta'ala se sawal kar aur jab tujhey madad talab karni ho tau Allah Ta'ala key saat madad talab kar aur yaqeen kar keh tamam makhlooq agar (bilfarz) is baat par jama hojye keh tujhey kuch fayeda pohonchaye tau tujhey sirf is kadar hi fayeda pohoncha sakti hai jis kadar Allah Ta'ala ney terey liye mukaddar kardiya hai aur agar tamam makhlook is baat par jama ho jaye keh tujhey kuch takleef dena chahey tau tujhey is kadar takleef de sakti hai jis kadar Allah Ta'ala ney terey barey mai likh diya hai. Qalam utha diye gaye hain aur sahifon ki siyahi khushk ho gayi hai." (Mishkat Al Masabeeh:5302). Is hadith ka apney risaley fatahul ghaib (muqala # 42) mai zikar karney key baad Hazarat Shaikh Abdul Qadir Jilani (Rahmatullah Alaihe) farmatey hain: "Tau har momin par lazim hai keh is hadith (mubarak) ko apney dil ka aaina banaley' usey ek orhna bichhona aur apni guftugu banaley. (yani) usey chahiye keh is (hadith mubarak) par apni tamam harkaat o saknaat mai amal kaey' takeh who duniya aur aakhirat mai salamti paa sakey aur (usi key sabab) who dono (duniya o aakhirat) mai Allah Ta'ala ki rahmat o karam nawazi se izzat payega."
Merey khayal se itni ahadith aur Quraani aayaat kafi hain aap ke challenge ke liye agar ab hi aap na maney tau wohi baat hai keh hidayat dena Allah ka kaam hai jisey chahta hai deta hai.
InshaAllah agli e-mail mai yeh bataney ki koshish karonga keh asli ahle sunnat kaun hotey hain apne munh se khud ko ahle sunnat kehne se koi ahle sunnat nahi ho sakta hai aur aapney jo likha hai keh: Agar main yeh Sabit kardu tho aap kya karo gey? Tau bhai sahib jhoot ka wabal tau aap par hai sabit kar saktey ho tau karo verna suni sunai baat aagey barhaney se bacho. Aap ko ek cheez aur batana chahonga keh aap keh tau rahe ho keh shia is not muslim lekin aap logon mai aur shia mai koi fark nahi hai agar shia muslim nahi hai tau aap bhi nahi ho aur agar aap khud ko muslim kehtey ho tau shia bhi muslim huye koshish karonga keh agli e-mail mai is baat ko sabit karney ki.
From: sagetaiba@gmail.com
Date: Mon, 29 Nov 2010 16:31:56 +0530
Subject: Re: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!
To: joinpakistan@googlegroups.com; Pakistani-girls@googlegroups.com
CC: architectsherry@gmail.com; zshansiddiqui@hotmail.com; slamdua@gmail.com; usmanqasim@hotmail.com; syedirfanashraf@gmail.com; usmaniasso@yahoo.com; finance@nisarspinning.com; sharif@umergroup.com; farooq@mohammadfarooq.com; soul_of_bazm@yahoo.com; info@lhr.sapphire.com.pk
Waisey yeh Muzakira bohot lamba ho gaya hai, Kai logo ney ikhtelaaf kiya, k Hindu poet ki poem pesh ki gayi, jisey apney aapko Musalmaan kehney walon ney dusrey musalmano ko Mushrik kehna shuru kiya. Us poem k Mutabiq, Pehley Aitrazat huvey. k
1) Mazarat-e-Auliya per jana shirak, (iska jawab diya gaya tho)
2) Phir kisi ney aitraaz kiya jaana nahi bal k waha jaakar ziyarat karana shirak.( Iska jawab diye tho)
3) phir kisi ney aitraaz kiya nai nain wahan jaakar Maangney per aitraaz hai.
4) kisi ney kaha k nai Pakki Mazaar bananey per Aitraaz hai. Aitrazat tho bohot huvey or Ab bhi ho rahey hain, or yeh jitney bhi Aitraazat hain sab Mazarat-e-Auliya ko lekar he ho rahey hain.
Kuch ney itna Maan liya k Mazaar per Jaaney mein koi haraj nai, Magar Manney sey problem hai or kuch kehtey hain Pakki mazaar sey problem hai.
Sherish Theba,
Aapney jo yahan per kaha ha, kis had tak sahi hai? Main aap sey ek request karta hu jo aap log kehtey ho. kehney sey pehley zara tehqeeq karlo. Hum per nahi khud per he ek Ehsaan karlo badi meharbaani hogi.
Agar aap log kuch galat nigah sey dekh letey ho or us ki tehqeeqat kiye bagair Agar koi bad kalemaat kehtey ho tho ismein kis galat kon hai?
Galat(Buri) Nigah or Galat(Buri) Soch ki ek misaal deta hu.
Ek Gair Shaadi shuda (Unmarried) Ladka, ek ladki ko Madarsa bike per chor kar aaya tho us ladkey k dost ney kaha, kyon miya Dadhi(beared) rakhey phirtey ho, Aalim, Moulana, shareef jaisey lagtey ho per phir bhi Ladkiyon ko apni bike per bitha kar ghumtey ho? kaisey besharam insaan ho? Sab jaantey huvey bhi galat kaam kartey ho?
Tho jaantey ho us ladkey ney kya jawab diya?
Usney kaha "woh meri (Didi)behan hai".
Main yeh kehna chahata hu, kai baar aisa hota hai, jo hum dekhtey hai or jisey hum galat feel kartey hai, woh dar haqeeqat galat nai hota. kyon k waha hamari soch galat hoti hai. Isiliye jab bhi kuch dekho or kisi k baarey mein kuch galat ya bura kehna chaho tho pehley confirm karlo kya haqeeqat mein woh galat hai?
Main sab sey pehley is baat ko clear karna pasand karuga, jo aapney yeh ilzaam lagaya hai woh bilkul galat or beybunyaad hai.
Pehley Hum Ahl-e-Sunnat o Jama-at ka Aqeeda maalum karo phir fatwey lagao.
Hum Sunni Mazarat-e-Aauliya per sajdey nai kartey, Or na he kisi Sunni Jama-at k Aalim ney kabhi hukum diya hai k Mazarat-e-Auliya per sajdey karo.
Magar Sabsey badi galat fehmi aap logo mein jo moujud hai woh yeh hai.
Hum Mazarat-e-Auliya ko bosa(chumney) k liye jhuktey hain, Or Hum Sahib-e-Mazar k Qadmain shareefain ka bosa letey hain, unhey sajda nai kartey. or is amal ko aaplog sajda samajhtey ho apni Naaqis Aqal ka istemaal kar key. kyon k aap log Aalim sey puchna apni shaan k khilaf samajhtey ho or apney aapko duniya ka sab sey bada aalim samajh baithy ho. Allah aapko neik hidyat dey or Sahi Aalim-e-Deen sey contact mein rehney ki tofique dey.
Is Amal ko Huzur Mufti-e-Azam ney apney Naatiya Ashar mein u farmaya.
Sang-e-Dar-e-Jana per karta hu jabeein sei
Sajda na samajh najdi sar deta hu nazrana.
Ab bhi aap k dil mein ab bhi kuch shak baaqi hai jisey main mehsus karsakta hu, yeh merey Rab ney Nabi-e-Paak(SAW) k Sadqey mein hum Gulaman-e-Muhammed(SAW) ko ata kiya hai. or woh shak jo aap k dil mein baaqi hai woh yeh hai. k Aaj bhi kai log Khawja Ghareeb Nawaz Rehmatullah hi tala Alai ya dusrey Auliya k mazaarat per sajda kartey hain. tho unkey baarey mein kya kaho gey? ( Am i right? )
Tho yeh lo iska jawab.
Mazarat-e-Auliya per Musalmano sey zyada tadad(count) mein hindu jaatey hain, yeh baat main nahi aap khud kisi hindu sey puchu, kyon k aapko ek musalmaan sey zyada ek hindu ki baat per bharosa hai, jiski daleel wo nazam(poetry) hai jisey kisi hindu ney likha or aap ney us k base per musalmaano ko Mushrik kehna shuru kar diye. Yeh Hindu aap logo k aalim-e-deen maalum hotey hain kyon k aap ek Sahi Momin Aalim-e-deen ki bajaaye, insey Mashawara(Advice) letey ho.
Agar koi Hindu Topi (Muslim Cap) lagar kar Khawja Garib Nawaz Rehmatullah hi taala Alai k maazar per sajda karta hai tho kya aap us k Amal sey purey Ahl-e-Sunnat wo Jamat ko Mushrik kahogey?
Abhi ek or Aitraaz aap k dil mein mojoud hai.
or aap kaho gey "Nai nai, Main tho kai Musalmano ko bhi dekha hai sajda kartey huvey. tho ab un k liye kya kahogey?" (Am i right?)
Iska bhi Jawaba hai. or woh yeh padho.
Agar koi Musalmaan jo Mazarat-e-Auliya k aadab sey na wakif hai, agar woh nahi jaanta k Ziyarat-e-Mazarat-e-Auliya kaisey ki jaati hai? Tho Humara yeh kaam hai k hum usey Aadab sikhayen, na k us per Shirak ka fatwa dey dien. or us sey keh dein k nai, Mazar per jaana he shirak hai, Na jaayega Mazar per or na karey ga shirak. tho yeh jo tareeka aapka hai, woh bilkul galat hai.
iski b misaal deta hu, Main misaal isliye deta hu k Aap Aqal waley maalum hotey ho.
Agar koi baccha Namaz galat tarika sey padhey tho aap us ko Namaz ki adaigi ka sahi tarika batatey ho. Aap usko namaz sey nai roktey. Kyon k agar woh namaz galat tarika sey padh raha hai, agar aap usko samjaho gey tho woh sahi tarika sey padhey ga. Magar aap kaho k nai bhai, Namaz he rok do, Na pahey ga namaz or Na hi kareyga galati. tho yeh Soch aap ki galat hai.
Ab rahi baat Shirak ki, tho Suno Hum Ahl-e-Sunnat wo Jama-at ka Aqeeda.
Allah ek hai, Allah ka koi Shareek nai, or Mohammed Sallahu Alaih wa sallam Allah k Bandey or Rasool hai.
Mohammed Sallah hu Alaih wa sallam Allah k Mehboob hain, Allah k Nabi(SAW), ka Darja Allah k Baad hai, Agar Allah k Baad, Sabsey Afzal,Aala wo Bala Zaat, koi hai tho who Humarey Nabi Sarwar-e-Kaainat, Fakhrey Moujdaat, Hum Gunah gaaron ki Shafat karney waley, Hum gareebo k madagar, Aasiyon k Gamkhwar, Syed-ul-Abrar, Hazrat Mohammed Mustafa, Noor-e-Mujjasam (Sallah hu Alaih wa sallam) ki zaat-e-babarakat hai.
or Auliya Allah, Allah k barguzida bandey hain. jinho ney Allah ki raza haasil kar li.
Hum Nabi-e-Paak, sey maangtey hain tho Unhey Ya Rasul Allah key kar pukaartey hain, Hum Unhey Allah k Rasul keh kar pukartey hain, Allah nai kehtey.or na hi Allah samajhtey hain, Or jo kuch bhi Rasul Allah (SAW) detey hain tho woh Allah ki Ata sey detey hain, Nabi-e-Paak Sallah hu Alaihwa sallam Kareem or Sakhi hain tho Allah ki Ata sey, Nabi-e-Paak Sallah hu Alaih wa sallak k paas jo khazaney hain woh Allah k ata kiye huvey hain.
isi tarah Auliya Allah bhi Allah ki Ata sey hum gareebo ko ata kartey hain. Hum sab sunni unhey Allah keh kar yaa Allah samajh kar nai pukartey, Hum unhey Allah k paak barguzeeda bandey samajh kar pukartey hain. or aisa karna Shirak nai hai.
or Agar aap is ko Shirak kehtey ho tho Challange hai aap sab ko Quraan or Ahadees ki Roshni mein aap saabit kar k batao yeh shirak hai. I challange to All, (Wahabi, Deobandi, Tabligee, Shia, Ahl-e-Hadees, Naayaki, Chakdalwi, Rafizi, etc etc or jo jo bhi tabkey firkey hain sab ko challange).
Aap sab log apney Badey badey Aalim-e-deen or Scholars ko ikkhata karlo, or Hum Ahl-e-Sunnat wa jamat ek taraf.
Dekhney waly, Padhney waley, Jaaney waley, sunney waley, or apney aapko zyada Aqalmand kehney waley bhi dekh lein kon Haq per hai?
Pehley two points ka jawab diya ja chuka hai.
1) Mazarat-e-Auliya per jana shirak, (iska jawab diya gaya tho)
2) Phir kisi ney aitraaz kiya jaana nahi bal k waha jaakar ziyarat karana shirak.( Iska jawab diye tho)
Teesrey point ka jawab is email mein diya hu.
Pehley or Dusrey point per tho aap logo ko koi aitraaz nahi, Agar koi kahey nai bhai, ab bhi aitraaz hai, tho Main kahuga previouse emails padho aap mein sey chand ney khud kaha hai k jaaney per aitraaz nahi hai. Or Agar koi kahey k hum ney nahi kaha tho main email or Date dono k saath aap logo ko reply karsakta hu.
4th ) Pakki Mazarat tho Pehley 3rd point per baat karlein, phir 4th Point per baat karein gey.
To Zeeshan Siddique
Zeeshan ney kaha k main ney email mein jhoot kaha hai Ahl-e-Hadees k baarey mein,
Yeh baat jo main kehney jaarah hu, yeh main apney dil sey nai kehra hu, Yeh baat Ahl-e-Hadis ki kitaab mein likhi hai, or Ahl-e-Hadees yeh baat kehtey huye fakhar mehsoos kartey hain, Even Ahl-e-Hadees k Scholars b yahi baat kehtey hain.
wo Ahl-e-Hadees jamat k Kalimaat yeh hain.
"Agar hamein taaqat haasil hoti, Ya phir hamari zyada mazahimat na ki jaati tho hum Gunbad-e-Khazra ko dha detey,"
Nauzbillah min Zalik, Maz Allah suma Maz Allah.
Mujehy unki kitaab or Aalim ka naam yaad nahi, but yeh main ney khud kisi Ahl-e-Hadees ki zubani or usney he kitaab mein padh kar sunaya tha. but main usko ab bhi jaanta hu, agar aapko yakeen na ho tho kisi Ahl-e-Hadees k scholar ya Aalim sey puch kar dekhlo or jab tak main b woh kitaab or Aalim-e-deen ka pata laga luga.
Agar main yeh Sabit kardu tho aap kya karo gey?
or jo aapney link bheji hai woh yaha open nai hori,
http://www.shiatv.net/view_video.php?viewkey=24074754035a5a937d2e
or Waisey bhi yeh Shiatv.net Shia website hai, or Shia ki main baat per yaqeen b nai karta, Shia is not Muslim.
Aasi-O-Gunahgaar, Talib-E-Madina
I so second usman qasim, islam aur sab se uppar Quran mazaar banane, aur un pe sajda karne ka hukum nahi deta, kisi paare ki kisi surah ki koi ayaat nahi deti, quran mei shirk karne se bara gunah aur koi nahi maana gaya, aur hinduon ki rah par chalte hamara kuch tabqa haqeeqat bhool gaya hai k Quran hamein yeh taleem nahi deta,n @ Aasi-O-Gunahgaar, Talib-E-Madina, n Sapphire i m sorry dont mean to hurt you, but akaal ka koi takaza bhi hota hai, har baat ke liye agar moulviyon se poochne ki zaroorat hoti, tou aaj nabuwat khatam hi na hoti, Allah ne quran mei kai daffa likha hai k "hum ne tumhare liye quran ko asaan kar diya", ho sake tou in pak ayaaton pe yaqeen hum insano se zyada kar lijiye ga, i m sure kisi aalim-e-deen se kam se kam shirk jaise gunahon ke clearance ki zarurat nahi pare gi,,, jawabbat kafii hadd tak aapko khud mil jaye ge....May Allah bestow mercy on all of us n direct us to the right path... n give us the power to hear the truth wid patience n strength to grab what is right rather then argue n listen to what is wrong to do tehqeeq n find the utter truth.. Ameen...Dat is how we can learn by still remaining unified....Inshaa AllahTake care, nAllah hafizOn Fri, Nov 26, 2010 at 4:42 PM, Usman Qasim <usmanqasim@hotmail.com> wrote:
Jazbatii taqreer karnay say kuch nahi hota.. baat hindu ki poem say mutasir honay ki nahi hai. baat ya hai k us may jo likha hai kya wo galat hai???? agar galat likha hai tu baat khatam ho jatii.. zaida gussa app logo ko tu ese baat ka hai us nay sach likhaaa hai kyun k aisa he ho raha haiDate: Fri, 26 Nov 2010 15:26:02 +0500
From: info@lhr.sapphire.com.pk
To: joinpakistan@googlegroups.com
Subject: RE: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!
Tanqeed karna in ka vateera ban chuka hai, yeh kisi surat baaz nahi a'ain gay aur ghair muslimon ka sahara la kar musalmanon ko degrade karna aur un ma fasaad phelana in ki purani aadat ho chuki hai...In kay ilm o aqqal ka yahin se andazah ho jata hai k yeh aik hindu ki poetry se mutasir hain jesay Nauzubillah woh Qurah ho...-----Original Message-----
From: joinpakistan@googlegroups.com [mailto:joinpakistan@googlegroups.com]On Behalf Of Aasi-O-Gunahgaar, Talib-E-Madina
Sent: Friday, November 26, 2010 2:25 PM
To: joinpakistan@googlegroups.com
Subject: Re: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!Dear AllAgar ek hindu poet kuch likhey or aap log itna serious ley kar, usey haq maantey ho tho, Aap musalmaan or Mushrik k beech faraq saabit karney k liye kisi hindu poet ka sahara leingey?Kya aapney sahi Aalim-e-deen sey is baarey mein ruju (tazkira) kiye ho?Aaj siraf or siraf ek he religion apni sahi haalat mein zinda hai, tho woh siraf or siraf Muslim religion hai, Deen-e-Rasool Allah (SAW). is baat ko saari duniya maanti hai, per kuch Musalmaan he hain jin ko shak hai, woh bhi kisi Hindu poet ki waja sey.Woh hindu poet jisey khud uska religion ka sahi naam tak nahi pata, woh Musalmaano per poem likhey tho kuch padhey likhey log usey sahi samajh kar fatwey dena shuru kar detey hain.Kya aap log Sahi ho? or yeh kis Hindu ney likhi hai? kon hain woh? kaha rehta hai? kuch pata hai aapko?Jab nai maalum tho kyon apni zubaan islam k liye kholtey ho?Yeh Deen-e-Islam hai, Allah ka deen, kisi ki soch ya falsafa nai k jo chaho kehlo.Hope you guys understand it.Aasi-O-Gunahgaar, Talib-E-Madina
On Thu, Nov 25, 2010 at 11:02 PM, Zeeshan Siddiqui <zshansiddiqui@hotmail.com> wrote:
Dear All,
I can't able to understand that why we wish to close our eyes and why non-muslims has become derider upon us. Why we left teachings of Nabi (Sallalaho Alaihe Wa Aalehi Wasallam) when Allah's apostle (Sallalaho Alaihe Wa Aalehi Wasallam) taught us that we should worship of saints and build their tombs. Aren't we going on the track of Hindus & Christians. Yes indeed we are doing same thing more or less. We all should do our betterment according to Quran & Sunnah.
We should go on the narrow way by Allah's mercy.
AMEEN
From: info@lhr.sapphire.com.pk
To: joinpakistan@googlegroups.com
Subject: RE: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!
Date: Thu, 25 Nov 2010 11:11:39 +0500
Yes, its nothing except wrong presumptions and creating hatred in the name of ISLAM...-------Original Message-----
From: joinpakistan@googlegroups.com [mailto:joinpakistan@googlegroups.com]On Behalf Of Usmani Associates
Sent: Thursday, November 25, 2010 10:47 AM
To: joinpakistan@googlegroups.com
Subject: Re: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!
I agree with Syed Irfan Ashraf, Peshawar. There are so many problems which we are facing. It is time to be positive and trained our mind according to according to Islamic form. Islam does not believe in cast system. This poem lead us to wrong direction.
Muhammed Hussain Vegelpoory
New Karachi
--- On Wed, 11/24/10, Irfan Ashraf <syedirfanashraf@gmail.com> wrote:
From: Irfan Ashraf <syedirfanashraf@gmail.com>
Subject: Re: **JP** Poem by a Hindu Poet - An eye opener !!!
To: joinpakistan@googlegroups.com
Date: Wednesday, November 24, 2010, 9:30 PM
Dear friend this poem is not even worth reading. I am surprised as to
why you have given it so importance to import it impatiently from
across the border and present it before us. Please don't deal in
trading hatred. We already have tons of it. Do something more
constructive.
Regards
Syed Irfan Ashraf,
Peshawar
--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197
--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197
--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197
--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197
--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197
--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197
--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "JoinPakistan" group.
You all are invited to come and share your information with other group members.
To post to this group, send email to joinpakistan@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/joinpakistan?hl=en?hl=en
You can also visit our blog site : www.joinpakistan.blogspot.com &
on facebook http://www.facebook.com/pages/Join-Pakistan/125610937483197
No comments:
Post a Comment