Newsletter mailing list
Newsletter@minhaj.net
http://minhaj.net/mailman/listinfo/newsletter_minhaj.net
1087~*Khali Tha Daman*~Pak Old...
Ham jab bhi tanha ghar gaye
Saye se apne dar gaye
Teri judai se sanam
Ham jete jee hi mar gaye
Sunte hi zikar karbala
Aankhon main aansu bhar gaye
Na piyar ham ko mil saka
Kasa liye dar dar gaye
Rah_e_KHUDA main mar mite
Par naam roshan kar gaye
Sajde kiye the khaak par
Aur aasman tak sar gaye
Khali tha daman"Mahrukh"
Jab ham sir_e_mahshar gaye
| Subject: | CNN OOPS! |
|---|---|
| Date: | Sat, 2 Oct 2010 18:38:06 -0400 (EDT) |
| From: | claguerra245@aol.com |
| To: | Rhomp2002@earthlink.net |
1086~*Tha Jo Kismat Main*~Pak Old...
Muj ko masomiyat ka sela mil gaya
Woh jo bichra koi dusara mil gaya
Hai muqadar bhi pathar ki jaise lakeer
Ham ne chaha tha kiya aur kya mil gaya
Dil main marne ki khawahish naheen ab zara
Ham ko to jete jee hi KHUDA mil gaya
Hai yeh Qudrat ki shan_e_ata dekiye
Jo bhi manga tha us se sawa mil gaya
Sedha le jaye ga ham ko manzel talak
Aisa aasan sa raasta mil gaya
Dhundhte the jise shahar dar shahar ham
Woh gali main hamari khara mil gaya
Kis se shikwa kareen kiya shikayat kareen
Tha jo kismat main likha huwa mil gaya
Sirf itni kahani hai meri to bas
Sabaz manga tha lekin hara mil gaya
Sari duniya ne chora to kiya "Mahrukh"
Shaheri ka mujhye aasara mil gaya,